KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun, Urdu Ghazal By Sohail Akhtar

KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sohail Akhtar. KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خزاں کی آزمائش ہو گیا ہوں

سہیل اختر

خزاں کی آزمائش ہو گیا ہوں

میں اک جنگل کی چاہت میں ہرا ہوں

مری کشتی کبھی غرقاب کی تھی

ابھی تک میں سمندر سے خفا ہوں

پرندے ہو گئے ناراض مجھ سے

کہا جب میں بھی اڑنا چاہتا ہوں

کوئی وحشت سے بھی ملوائے مجھ کو

میں صحرا میں ابھی بالکل نیا ہوں

ابھی اک روشنی آئی تھی ملنے

سبب کیا ہے کہ میں بجھنے لگا ہوں

یہاں کے پیڑ سارے دم بخود ہیں

غضب ہے میں ہی کاٹا جا رہا ہوں

کوئی پانی میں کب تک رہ سکے گا

میں اشکوں سے تو آنکھوں تک بھرا ہوں

سہیل اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun

Sohail Akhtar

KHizan ki aazmaish ho gaya hun
main ek jangal ki chahat mein hara hun

meri kashti kabhi gharqab ki thi
abhi tak main samundar se KHafa hun

parinde ho gae naraaz mujh se
kaha jab main bhi uDna chahta hun

koi wahshat se bhi milwae mujh ko
main sahra mein abhi bilkul naya hun

abhi ek raushni aai thi milne
sabab kya hai ki main bujhne laga hun

yahan ke peD sare dam-ba-KHud hain
ghazab hai main hi kaTa ja raha hun

koi pani mein kab tak rah sakega
main ashkon se to aankhon tak bhara hun

(557) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun written by Sohail Akhtar at UrduPoint. KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun is one of the masterpieces written by Sohail Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Sohail Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sohail Akhtar' above.

KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHizan Ki Aazmaish Ho Gaya Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.