Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein, Urdu Ghazal By Sohail Akhtar

Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sohail Akhtar. Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صرف تھوڑی سی ہے انا مجھ میں

سہیل اختر

صرف تھوڑی سی ہے انا مجھ میں

ورنہ باقی ہے بس خلا مجھ میں

اندر اندر مجھے یہ کھاتی ہے

ایک بھوکی سی ہے بلا مجھ میں

ڈھہ رہا ہوں میں اک کھنڈر کی طرح

اک بھٹکتی ہے آتما مجھ میں

اب ہر اک بات پر میں راضی ہوں

جانے یہ کون مر گیا مجھ میں

میری آوارگی سے گھبرا کر

مڑ گیا میرا راستہ مجھ میں

دیکھ کر مجھ کو اس قدر خاموش

ایک دریا اتر گیا مجھ میں

میں نے قابو میں اس کو رکھا ہے

وہ جو رہتا ہے سرپھرا مجھ میں

میں تھا ایسا کہاں سہیلؔ کبھی

اب تو ہے کوئی دوسرا مجھ میں

سہیل اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein

Sohail Akhtar

sirf thoDi si hai ana mujh mein
warna baqi hai bas KHala mujh mein

andar andar mujhe ye khati hai
ek bhuki si hai bala mujh mein

Dhah raha hun main ek khanDar ki tarah
ek bhaTakti hai aatma mujh mein

ab har ek baat par main raazi hun
jaane ye kaun mar gaya mujh mein

meri aawargi se ghabra kar
muD gaya mera rasta mujh mein

dekh kar mujh ko is qadar KHamosh
ek dariya utar gaya mujh mein

main ne qabu mein us ko rakkha hai
wo jo rahta hai sar-phira mujh mein

main tha aisa kahan 'suhail' kabhi
ab to hai koi dusra mujh mein

(473) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein written by Sohail Akhtar at UrduPoint. Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein is one of the masterpieces written by Sohail Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Sohail Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sohail Akhtar' above.

Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sirf ThoDi Si Hai Ana Mujh Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.