Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar, Urdu Ghazal By Suhail Kakorvi

Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Suhail Kakorvi. Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہنس دئیے زخم جگر جیسے کہ گل ہائے بہار

سہیل کاکوروی

ہنس دئیے زخم جگر جیسے کہ گل ہائے بہار

مجھ پہ مائل ہے بہت نرگس شہلائے بہار

بے خیالی ہے خیال رخ زیبائے بہار

بس یہی آرزوئے دل ہے کہ آ جائے بہار

مست ان سرخ نظاروں میں نظر آئے بہار

آتش سوز محبت سے جو جل جائے بہار

مثل مجنوں نظر آیا مجھے سودائے بہار

سج کے آئی ہے مرے سامنے لیلائے بہار

جب وہ گلشن میں سنورتی ہے برستی ہے شراب

جب وہ بہکے تو زمانے کو بھی بہکائے بہار

جھوم کر پھول رخ یار پہ ہوتے ہیں فدا

کیف نظارگیٔ حسن سے لہرائے بہار

کشش رنگ محبت سے وہ آیا ہے یہاں

اے خدا اب مرے گھر سے نہ کبھی جائے بہار

معجزہ میں نے یہ دیکھا ترے لب پر اکثر

مسکراہٹ میں نہاں برق تجلائے بہار

مری آنکھوں میں اتر آئی ہے تصویر تری

میری آنکھوں سے ذرا دیکھ تماشائے بہار

آئینہ دل کا سہیلؔ آئینۂ شوق ہے بس

اس کی معصوم نگاہی سے نہ شرمائے بہار

سہیل کاکوروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar

Suhail Kakorvi

hans diye zaKHm-e-jigar jaise ki gul-ha-e-bahaar
mujh pe mail hai bahut nargis-e-shahla-e-bahaar

be-KHayali hai KHayal-e-ruKH-e-zeba-e-bahaar
bas yahi aarzu-e-dil hai ki aa jae bahaar

mast in surKH nazaron mein nazar aae bahaar
aatish-e-soz-e-mohabbat se jo jal jae bahaar

misl-e-majnun nazar aaya mujhe sauda-e-bahaar
saj ke aai hai mere samne laila-e-bahaar

jab wo gulshan mein sanwarti hai barasti hai sharab
jab wo bahke to zamane ko bhi bahkae bahaar

jhum kar phul ruKH-e-yar pe hote hain fida
kaif-e-nazzargi-e-husn se lahrae bahaar

kashish-e-rang-e-mohabbat se wo aaya hai yahan
ai KHuda ab mere ghar se na kabhi jae bahaar

moajiza main ne ye dekha tere lab par aksar
muskurahaT mein nihan barq-e-tajalla-e-bahaar

meri aankhon mein utar aai hai taswir teri
meri aankhon se zara dekh tamasha-e-bahaar

aaina dil ka 'suhail' aaina-e-shauq hai bas
us ki masum nigahi se na sharmae bahaar

(540) ووٹ وصول ہوئے

You can read Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar written by Suhail Kakorvi at UrduPoint. Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar is one of the masterpieces written by Suhail Kakorvi. You can also find the complete poetry collection of Suhail Kakorvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Suhail Kakorvi' above.

Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hans Diye ZaKHm-e-jigar Jaise Ki Gul-ha-e-bahaar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.