Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho, Urdu Ghazal By Sultan Ul Haq Shaheedi Kashmiri

Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sultan Ul Haq Shaheedi Kashmiri. Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ وہ جہاں نہیں جہاں آزار ہی نہ ہو

سلطان الحق شہیدی کاشمیری

یہ وہ جہاں نہیں جہاں آزار ہی نہ ہو

گلزار کون ہے وہ جہاں خار ہی نہ ہو

اچھا ہے ان سے کوئی سروکار ہی نہ ہو

جن دوستوں میں جوہر ایثار ہی نہ ہو

اس بزم شب کے حشر پہ روتا ہے وقت بھی

جو انقلاب دہر سے بیدار ہی نہ ہو

محرومیوں سے رنگ رخ زیست زرد ہے

انساں وہ کام کا ہے جو بیزار ہی نہ ہو

میری سمجھ میں آئے گا تب ارتقائے زیست

بزم جہاں میں جب کوئی نادار ہی نہ ہو

سلطان الحق شہیدی کاشمیری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho

Sultan Ul Haq Shaheedi Kashmiri

ye wo jahan nahin jahan aazar hi na ho
gulzar kaun hai wo jahan KHar hi na ho

achchha hai un se koi sarokar hi na ho
jin doston mein jauhar-e-isar hi na ho

is bazm-e-shab ke hashr pe rota hai waqt bhi
jo inqilab-e-dahr se bedar hi na ho

mahrumiyon se rang-e-ruKH-e-zist zard hai
insan wo kaam ka hai jo bezar hi na ho

meri samajh mein aaega tab irtiqa-e-zist
bazm-e-jahan mein jab koi nadar hi na ho

(420) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho written by Sultan Ul Haq Shaheedi Kashmiri at UrduPoint. Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho is one of the masterpieces written by Sultan Ul Haq Shaheedi Kashmiri. You can also find the complete poetry collection of Sultan Ul Haq Shaheedi Kashmiri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sultan Ul Haq Shaheedi Kashmiri' above.

Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Wo Jahan Nahin Jahan Aazar Hi Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.