Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta, Urdu Ghazal By Syed Amin Ashraf

Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Amin Ashraf. Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو ڈر اپنوں سے ہے غیروں سے وہ ڈر ہو نہیں سکتا

سید امین اشرف

جو ڈر اپنوں سے ہے غیروں سے وہ ڈر ہو نہیں سکتا

یہ وہ خنجر ہے جو سینے سے باہر ہو نہیں سکتا

جو سچ پوچھو تو یہ تصویر بھی ہے سانحہ جیسی

کسی بھی سانحے پر کوئی ششدر ہو نہیں سکتا

کھٹکتی ہے کسی شے کی کمی اس دار فانی میں

شکستہ بام و در جس کے نہ ہوں گھر ہو نہیں سکتا

یہ آخر کیوں کہ ہر دن ایک موسم ایک ہی منظر

جہاں زیر و زبر ہو اس سے بہتر ہو نہیں سکتا

نہ شامل ہو جو آشفتہ خیالی ذہن محکم میں

وہ کچھ بھی ہو چمن‌ زار معطر ہو نہیں سکتا

کلی کا لب بدن کندن کا قامت سرو کی لیکن

وفا نا آشنا میرے برابر ہو نہیں سکتا

فقط صورت میں کیا رکھا ہے اے حسن تماشا ہیں

کہ کار آئنہ سے میں سکندر ہو نہیں سکتا

کسی کو چاہنے سے باز آنا کیسے ممکن ہے

لکھا ہے جو کتابوں میں وہ اکثر ہو نہیں سکتا

ترے انکار کو اس زاویے سے دیکھتا ہوں میں

ترا ملنا بھی معیار مقدر ہو نہیں سکتا

یہ مانا عیب بھی ہیں سیکڑوں کس میں نہیں ہوتے

امین اشرفؔ مگر تجھ سا قلندر ہو نہیں سکتا

سید امین اشرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta

Syed Amin Ashraf

jo Dar apnon se hai ghairon se wo Dar ho nahin sakta
ye wo KHanjar hai jo sine se bahar ho nahin sakta

jo sach puchho to ye taswir bhi hai saneha jaisi
kisi bhi sanehe par koi shashdar ho nahin sakta

khaTakti hai kisi shai ki kami is dar-e-fani mein
shikasta baam-o-dar jis ke na hon ghar ho nahin sakta

ye aaKHir kyun ki har din ek mausam ek hi manzar
jahan zer-o-zabar ho us se behtar ho nahin sakta

na shamil ho jo aashufta-KHayali zehn-e-mohkam mein
wo kuchh bhi ho chaman-zar-e-muattar ho nahin sakta

kali ka lab badan kundan ka qamat sarw ki lekin
wafa na-ashna mere barabar ho nahin sakta

faqat surat mein kya rakkha hai ai husn-e-tamasha hain
ki kar-e-aina se main sikandar ho nahin sakta

kisi ko chahne se baz aana kaise mumkin hai
likha hai jo kitabon mein wo aksar ho nahin sakta

tere inkar ko is zawiye se dekhta hun main
tera milna bhi mear-e-muqaddar ho nahin sakta

ye mana aib bhi hain saikDon kis mein nahin hote
'amin-ashraf' magar tujh sa qalandar ho nahin sakta

(291) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta written by Syed Amin Ashraf at UrduPoint. Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta is one of the masterpieces written by Syed Amin Ashraf. You can also find the complete poetry collection of Syed Amin Ashraf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Amin Ashraf' above.

Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Dar Apnon Se Hai Ghairon Se Wo Dar Ho Nahin Sakta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.