Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein, Urdu Ghazal By Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi. Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذرا سا جھانک لو ان بیقرار آنکھوں میں

سید غافر رضوی فلک چھولسی

ذرا سا جھانک لو ان بیقرار آنکھوں میں

دکھائی دے گا تمہارا دیار آنکھوں میں

گراں ہوئے مرے دلبر فراق کے لمحے

ابھر کے دل سے چلا آیا پیار آنکھوں میں

زہے نصیب رخ ناز گر نظر آئے

بسا کے رکھ لوں میں جان بہار آنکھوں میں

کہاں قیام ہے جان جگر بتا دے ذرا

یہی سوال اٹھا بار بار آنکھوں میں

تمہاری یاد میں مشغول ہو گئیں جب سے

خزاں کی فصل میں آئی بہار آنکھوں میں

زمین اشک پہ چھائی ہے اس قدر خشکی

جگہ جگہ پہ پڑی ہے درار آنکھوں میں

نہ ہوں وہ خیرا تجلی کو دیکھ کر تیری

وہ تاب دید دے پروردگار آنکھوں میں

رکی رکی سی ہیں نظریں تمہاری راہوں پر

تھما تھما سا ہے دل کا قرار آنکھوں میں

دکھا دو چہرہ کہ دم توڑتی ہیں اب سانسیں

امید ہو نہ کہیں تار تار آنکھوں میں

تمہارے ہجر میں نرگس بھی خون روتی ہے

لیے ہے اشک مسلسل بہار آنکھوں میں

جو موت حسرت دیدار میں مجھے آئی

تمہاری یاد کا ہوگا مزار آنکھوں میں

فلکؔ گواہ ہے رو رو کے پڑ گئے حلقے

بسا ہوا ہے ترا انتظار آنکھوں میں

سید غافر رضوی فلک چھولسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

zara sa jhank lo in be-qarar aankhon mein
dikhai dega tumhaara dayar aankhon mein

garan hue mere dilbar firaq ke lamhe
ubhar ke dil se chala aaya pyar aankhon mein

zahe-nasib ruKH-e-naz gar nazar aae
basa ke rakh lun main jaan-e-bahaar aankhon mein

kahan qayam hai jaan-e-jigar bata de zara
yahi sawal uTha bar bar aankhon mein

tumhaari yaad mein mashghul ho gain jab se
KHizan ki fasl mein aai bahaar aankhon mein

zamin-e-ashk pe chhai hai is qadar KHushki
jagah jagah pe paDi hai darar aankhon mein

na hon wo KHira tajalli ko dekh kar teri
wo tab-e-did de parwardigar aankhon mein

ruki ruki si hain nazren tumhaari rahon par
thama thama sa hai dil ka qarar aankhon mein

dikha do chehra ki dam toDti hain ab sansen
umid ho na kahin tar tar aankhon mein

tumhaare hijr mein nargis bhi KHun roti hai
liye hai ashk musalsal bahaar aankhon mein

jo maut hasrat-e-didar mein mujhe aai
tumhaari yaad ka hoga mazar aankhon mein

'falak gawah hai ro ro ke paD gae halqe
basa hua hai tera intizar aankhon mein

(482) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein written by Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi at UrduPoint. Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein is one of the masterpieces written by Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi. You can also find the complete poetry collection of Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi' above.

Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zara Sa Jhank Lo In Be-qarar Aankhon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.