ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin, Urdu Ghazal By Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi. ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھوڑ کر ان کو ہمارا آسرا کوئی نہیں

سید غافر رضوی فلک چھولسی

چھوڑ کر ان کو ہمارا آسرا کوئی نہیں

ماسوا ان کے سہارا دوسرا کوئی نہیں

منبع اسرار عشق کبریا کوئی نہیں

ان سے بڑھ کر آئنہ در آئنہ کوئی نہیں

در پہ پہرہ ہے لگی ہیں قینچیاں دیوار پر

ہو بھلا دیدار کیسے راستہ کوئی نہیں

جھانک کر کھڑکی سے خود پردہ گرا دیتے ہیں وہ

جب کہ اس منظر سے منظر خوش نما کوئی نہیں

ماہ رخ کی زلف سے ایسے بنا پر نور چاند

عشق کی دنیا میں اس جیسی ضیا کوئی نہیں

گم ہوا رہتا ہوں ان کی یاد میں ہر آن میں

اس سے بڑھ کر اور احساس وفا کوئی نہیں

میری خواہش ہے سدا پھولو پھلو جان بہار

دل کی دھڑکن سے بھی آگے کی دعا کوئی نہیں

دیکھیے مغرب سے نکلا ہے ہمارا آفتاب

ہم کو حیرت یہ ہوئی حیرت زدہ کوئی نہیں

میری میت قبر تک دشمن کے کاندھے پر گئی

کائنات عشق سے آیا گیا کوئی نہیں

قبر کی آغوش میں جا کر فلکؔ ظاہر ہوا

مونس و ہمدم عمل کے ماسوا کوئی نہیں

سید غافر رضوی فلک چھولسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

chhoD kar un ko hamara aasra koi nahin
ma-siwa un ke sahaara dusra koi nahin

mamba-e-asrar ishq-e-kibriya koi nahin
un se baDh kar aaina-dar-aina koi nahin

dar pe pahra hai lagi hain qainchiyan diwar par
ho bhala didar kaise rasta koi nahin

jhank kar khiDki se KHud parda gira dete hain wo
jab ki is manzar se manzar KHushnuma koi nahin

mah-ruKH ki zulf se aise bana pur-nur chand
ishq ki duniya mein is jaisi ziya koi nahin

gum hua rahta hun un ki yaad mein har aan main
is se baDh kar aur ehsas-e-wafa koi nahin

meri KHwahish hai sada phulo-phalo jaan-e-bahaar
dil ki dhaDkan se bhi aage ki dua koi nahin

dekhiye maghrib se nikla hai hamara aaftab
hum ko hairat ye hui hairat-zada koi nahin

meri mayyat qabr tak dushman ke kandhe par gai
kaenat-e-ishq se aaya gaya koi nahin

qabr ki aaghosh mein ja kar 'falak zahir hua
monis-o-hamdam amal ke ma-siwa koi nahin

(591) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin written by Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi at UrduPoint. ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin is one of the masterpieces written by Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi. You can also find the complete poetry collection of Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi' above.

ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like ChhoD Kar Un Ko Hamara Aasra Koi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.