Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi, Urdu Ghazal By Syed Hamid

Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Hamid. Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آئی نہیں کیا قید ہے گلشن میں صبا بھی

سید حامد

آئی نہیں کیا قید ہے گلشن میں صبا بھی

آنے لگی زنجیر کی کانوں میں صدا بھی

پا جائے گا دل اس میں بھی تخصیص کے پہلو

معلوم یہ ہوتا تو نہ کرتے وہ جفا بھی

ڈھونڈا کئے ہر گام پہ ہاتھوں کا سہارا

بھولے سے کبھی بہر دعا ہاتھ اٹھا بھی

شانے پہ بکھیرے ہوئے نکھری ہوئی زلفیں

برسی بھی تو گھنگھور عجب ہے یہ گھٹا بھی

بھایا ہے جو مکھڑے کو چھپانے کا طریقہ

دیکھو کبھی آنکھوں کو چرانے کی ادا بھی

جیسے ہو کنول آب میں پاکیزہ طبیعت

رہتے ہوئے دنیا میں ہیں دنیا سے جدا بھی

ہر آن جفا جان کے کرتے ہو ستم ہے

ہر سانس یہ کہتی ہے کہ ہو جان وفا بھی

آنکھیں یہ بتاتی ہیں کہ دل اور کہیں ہے

کہنا تھا مجھے تم سے ابھی اس کے سوا بھی

ممکن ہے گرے کوئی ہمالہ سے تو اٹھ جائے

حامدؔ کبھی اٹھا ہے نگاہوں سے گرا بھی

سید حامد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi

Syed Hamid

aai nahin kya qaid hai gulshan mein saba bhi
aane lagi zanjir ki kanon mein sada bhi

pa jaega dil us mein bhi taKHsis ke pahlu
malum ye hota to na karte wo jafa bhi

DhunDa kiye har gam pe hathon ka sahaara
bhule se kabhi bahr-e-dua hath uTha bhi

shane pe bikhere hue nikhri hui zulfen
barsi bhi to ghanghor ajab hai ye ghaTa bhi

bhaya hai jo mukhDe ko chhupane ka tariqa
dekho kabhi aankhon ko charane ki ada bhi

jaise ho kanwal aab mein pakiza tabiat
rahte hue duniya mein hain duniya se juda bhi

har aan jafa jaan ke karte ho sitam hai
har sans ye kahti hai ki ho jaan-e-wafa bhi

aankhen ye batati hain ki dil aur kahin hai
kahna tha mujhe tum se abhi is ke siwa bhi

mumkin hai gire koi himala se to uTh jae
'hamid' kabhi uTTha hai nigahon se gira bhi

(734) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi written by Syed Hamid at UrduPoint. Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi is one of the masterpieces written by Syed Hamid. You can also find the complete poetry collection of Syed Hamid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Hamid' above.

Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aai Nahin Kya Qaid Hai Gulshan Mein Saba Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.