Zeyabetis Ke Mariz, Urdu Nazam By Syed Mohammad Jafri

Zeyabetis Ke Mariz is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Syed Mohammad Jafri. Zeyabetis Ke Mariz comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Zeyabetis Ke Mariz on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذیابیطس کے مریض

سید محمد جعفری

وہ مریضان ذیابیطس جو آئے ہیں یہاں

ان میں بچے بھی ہیں شامل اور بوڑھے اور جواں

اس زمانے میں کہ جب ہے ملک میں ہر شے گراں

یہ بناتے ہیں شکر بڑھتی ہیں جس سے تلخیاں

خون کی نلیوں میں کالسٹرول بڑھ جائے اگر

''پھول کی پتی سے کٹ سکتا ہے ہیرے کا جگر''

خون میں ان کے شکر ہے شکر کرتے ہیں مگر

یہ دعا دیتے ہیں 'انسولین' کو شام و سحر

'کاربوہائیڈریٹ' آ جاتے ہیں جس شے میں نظر

کھانے پینے میں کیا کرتے ہیں یہ اس سے حذر

یہ جو میٹھے خون والے ہیں انہیں معلوم ہے

''پنکریاٹک جوس'' میں سے ان کے کچھ معدوم ہے

یہ نمک خواران ملت جب کہیں پیتے ہیں چائے

''آگہی دام شنیدن جس قدر چاہے بچھائے''

ڈالتے ہیں یہ ''سویٹکس'' اس میں چینی کی بجائے

جس کو اپنی جان پیاری ہو شکر کس طرح کھائے

یہ ہیں وہ فرہاد جو شیریں سے اپنی دور ہیں

ہے ذیابیطس وہ بڑھیا جس سے یہ مجبور ہیں

یہ جو بچے ہیں ذیابیطس کے غم میں مبتلا

یا الٰہی ان کی گاڑی عمر کی ایسے چلا

ان کے قابو آ کے دب جائے مرض کی یہ بلا

بچ رہے گا احتیاطوں میں اگر رہ کر پلا

شرط یہ ہے زندگی میں نظم ہو اور انضباط

احتیاط اور احتیاط اور احتیاط اور احتیاط

ہو ذیابیطس جسے اس کی دوا پرہیز ہے

ہے رفیق زندگی یہ دکھ جو درد آمیز ہے

اس کا پھر ورثے میں ملنا بھی تعجب خیز ہے

خاندانی قسم کا دکھ ہے حذر انگیز ہے

ورنہ میٹھا خوں اگر رگ میں رواں ہو جائے گا

''دوستی ناداں کی ہے، جی کا زیاں ہو جائے گا''

سید محمد جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zeyabetis Ke Mariz

Syed Mohammad Jafri

wo marizan-e-zeyabetis jo aae hain yahan
un mein bachche bhi hain shamil aur buDhe aur jawan
is zamane mein ki jab hai mulk mein har shai giran
ye banate hain shakar baDhti hain jis se talKHiyan
KHun ki nalyon mein cholestrol baDh jae agar
phul ki patti se kaT sakta hai hire ka jigar

KHun mein in ke shakar hai shukr karte hain magar
ye dua dete hain 'insulin' ko sham o sahar
'carbohydrate' aa jate hain jis shai mein nazar
khane pine mein kiya karte hain ye us se hazar
ye jo miThe KHun wale hain inhen malum hai
pencriatic juice mein se in ke kuchh madum hai

ye namak-KHwaran-e-millat jab kahin pite hain chae
aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae
Dalte hain ye sweetics is mein chini ki bajae
jis ko apni jaan piyari ho shakar kas tarah khae
ye hain wo farhad jo shirin se apni dur hain
hai zeyabetis wo baDhiya jis se ye majbur hain

ye jo bachche hain zeyabetis ke gham mein mubtala
ya ilahi in ki gaDi umar ki aise chala
in ke qabu aa ke dab jae maraz ki ye bala
bach rahega ehtiyaton mein agar rah kar pala
shart ye hai zindagi mein nazm ho aur inzibaat
ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat

ho zeyabetis jise us ki dawa parhez hai
hai rafiq-e-zindagi ye dukh jo dard-amez hai
is ka phir wirse mein milna bhi tajjub-KHez hai
KHandani qism ka dukh hai hazar-angez hai
warna miTha KHun agar rag mein rawan ho jaega
dosti nadan ki hai, ji ka ziyan ho jaega

(983) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zeyabetis Ke Mariz written by Syed Mohammad Jafri at UrduPoint. Zeyabetis Ke Mariz is one of the masterpieces written by Syed Mohammad Jafri. You can also find the complete poetry collection of Syed Mohammad Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Mohammad Jafri' above.

Zeyabetis Ke Mariz is a widely read Urdu Nazam. If you like Zeyabetis Ke Mariz, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.