Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar, Urdu Ghazal By Syed Moinuddin Makhfi

Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Moinuddin Makhfi. Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہاں ہیں مخفی وہ شاہزادے جئے جو محلوں کی شان بن کر

سید معین الدین مخفی

کہاں ہیں مخفی وہ شاہزادے جئے جو محلوں کی شان بن کر

دلوں کی بستی بسا نہ پائے گئے تو اجڑا مکان بن کر

ہر ایک لمحہ حیات کا ہو چراغ حب نبی سے روشن

ثنائے رب میں ہی نیند آئے اٹھو سحر کی اذان بن کر

ہماری اردو نبی کی عربی سے مل کے شیر و شکر ہوئی ہے

یہاں کی مٹی میں خاک طیبہ بسی ہے مومن کی جان بن کر

گئے کہاں وہ جئے جو حق پر صدائے حق ہے وفات میں بھی

ہنوز ہم سن رہے ہیں ان کو گئے جو حق کا بیان بن کر

وہ شاخ گل جو قلم کی صورت بڑھی تھی آگے جڑیں جمانے

پہنچ نہ پائی زمین دل تک انا نے روکا چٹان بن کر

ہمارے بھارت کے سارے نیتا اگر سیاست نبی سے سیکھیں

چمک اٹھے گا جہاں میں سارے یہ ملک سچا مہان بن کر

یزیدیت سے مقابلہ ہے حسینی لشکر بنائے رکھو

روانگی بھی مثال کی ہو جیو نبی کے جوان بن کر

کسی نے مخفیؔ کیا بھروسہ وراثتوں کی حفاظتوں کا

یقیں میں مالک مجھے بدل دے مروں نہ جھوٹا گمان بن کر

سید معین الدین مخفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar

Syed Moinuddin Makhfi

kahan hain maKHfi wo shahzade jiye jo mahlon ki shan ban kar
dilon ki basti basa na pae gae to ujDa makan ban kar

har ek lamha hayat ka ho charagh-e-hubb-e-nabi se raushan
sana-e-rab mein hi nind aae uTho sahar ki azan ban kar

hamari urdu nabi ki arabi se mil ke shir-o-shakar hui hai
yahan ki miTTi mein KHak-e-taiba basi hai momin ki jaan ban kar

gae kahan wo jiye jo haq par sada-e-haq hai wafat mein bhi
hunuz hum sun rahe hain un ko gae jo haq ka bayan ban kar

wo shaKH-e-gul jo qalam ki surat baDhi thi aage jaDen jamane
pahunch na pai zamin-e-dil tak ana ne roka chaTan ban kar

hamare bhaarat ke sare neta agar siyasat nabi se sikhen
chamak uThega jahan mein sare ye mulk sachcha mahan ban kar

yazidiyat se muqabla hai husaini lashkar banae rakkho
rawangi bhi misal ki ho jiyo nabi ke jawan ban kar

kisi ne 'maKHfi' kiya bharosa wirasaton ki hifazaton ka
yaqin mein malik mujhe badal de marun na jhuTa guman ban kar

(271) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar written by Syed Moinuddin Makhfi at UrduPoint. Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar is one of the masterpieces written by Syed Moinuddin Makhfi. You can also find the complete poetry collection of Syed Moinuddin Makhfi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Moinuddin Makhfi' above.

Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Hain MaKHfi Wo Shahzade Jiye Jo Mahlon Ki Shan Ban Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.