Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The, Urdu Ghazal By Taashshuq Lakhnavi

Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taashshuq Lakhnavi. Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محفل سے اٹھانے کے سزا وار ہمیں تھے

تعشق لکھنوی

محفل سے اٹھانے کے سزا وار ہمیں تھے

سب پھول ترے باغ تھے اک خار ہمیں تھے

ہم کس کو دکھاتے شب فرقت کی اداسی

سب خواب میں تھے رات کو بیدار ہمیں تھے

سودا تری زلفوں کا گیا ساتھ ہمارے

مر کر بھی نہ چھوٹے وہ گرفتار ہمیں تھے

کل رات کو دیکھا تھا جسے خواب میں تم نے

رخسار پہ رکھے ہوئے رخسار ہمیں تھے

دل سوختہ تھے چاہنے والوں میں تمہارے

لیکن سبب گرمئ بازار ہمیں تھے

کل کوچۂ قاتل میں جو تھا خلق کا مجمع

کھائے ہوئے اس ہاتھ کی تلوار ہمیں تھے

اے عشق مژہ کون ہمیں دیکھنے آتا

آنکھوں میں کھٹکتے تھے وہ بیمار ہمیں تھے

تربت میں بھی آنکھیں نہ ہوئیں بند ہماری

ایسے ترے اک طالب دیدار ہمیں تھے

ٹھنڈے کئے غیروں کے دل اور ہم کو جلایا

اک تھے تو محبت کے گنہ گار ہمیں تھے

ملتے ہی لب یار سے لب دل نکل آیا

مارا جسے عیسیٰ نے وہ بیمار ہمیں تھے

تم غیروں سے ڈر ڈر کے لپٹ جاتے تھے پیہم

کل رات کو نالاں پس دیوار ہمیں تھے

سب راز تعشقؔ سے بیاں ہوتے تھے دل کے

پہلے ترے اک محرم اسرار ہمیں تھے

تعشق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The

Taashshuq Lakhnavi

mahfil se uThane ke saza-war hamin the
sab phul tere bagh the ek KHar hamin the

hum kis ko dikhate shab-e-furqat ki udasi
sab KHwab mein the raat ko bedar hamin the

sauda teri zulfon ka gaya sath hamare
mar kar bhi na chhuTe wo giraftar hamin the

kal raat ko dekha tha jise KHwab mein tum ne
ruKHsar pe rakkhe hue ruKHsar hamin the

dil-soKHta the chahne walon mein tumhaare
lekin sabab-e-garmi-e-bazar hamin the

kal kucha-e-qatil mein jo tha KHalq ka majma
khae hue us hath ki talwar hamin the

ai ishq-e-mizha kaun hamein dekhne aata
aankhon mein khaTakte the wo bimar hamin the

turbat mein bhi aankhen na huin band hamari
aise tere ek talib-e-didar hamin the

ThanDe kiye ghairon ke dil aur hum ko jalaya
ek the to mohabbat ke gunahgar hamin the

milte hi lab-e-yar se lab dil nikal aaya
mara jise isa ne wo bimar hamin the

tum ghairon se Dar Dar ke lipaT jate the paiham
kal raat ko nalan pas-e-diwar hamin the

sab raaz tashshuq se bayan hote the dil ke
pahle tere ek mahram-e-asrar hamin the

(517) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The written by Taashshuq Lakhnavi at UrduPoint. Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The is one of the masterpieces written by Taashshuq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Taashshuq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taashshuq Lakhnavi' above.

Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mahfil Se UThane Ke Saza-war Hamin The, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.