Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai, Urdu Ghazal By Tabassum Naz

Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tabassum Naz. Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ ستم کرتے گئے اور میں ستم سہتی گئی

تبسیم ناز

وہ ستم کرتے گئے اور میں ستم سہتی گئی

کاغذی کشتی تھی میں برسات میں بہتی گئی

چاہے کوئی مانے یا مانے نہیں میری دلیل

بات سچ تھی اس لئے میں چیخ کر کہتی گئی

شاید ان کو شرم آ جائے تو وہ رسوا نہ ہوں

بس اسی امید پر میں آج تک رہتی گئی

میرا رشتہ تھا سمندر سے تو میں رکتی کہاں

موج دریا کی طرح بہتی گئی بہتی گئی

نازؔ اس امید پر شاید کہ ہوش آئے انہیں

بے اثر ہر بات تھی ان پر مگر کہتی گئی

تبسیم ناز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai

Tabassum Naz

wo sitam karte gae aur main sitam sahti gai
kaghazi kashti thi main barsat mein bahti gai

chahe koi mane ya mane nahin meri dalil
baat sach thi is liye main chiKH kar kahti gai

shayad un ko sharm aa jae to wo ruswa na hon
bas isi ummid par main aaj tak rahti gai

mera rishta tha samundar se to main rukti kahan
mauj-e-dariya ki tarah bahti gai bahti gai

'naz' is ummid par shayad ki hosh aae unhen
be-asar har baat thi un par magar kahti gai

(271) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai written by Tabassum Naz at UrduPoint. Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai is one of the masterpieces written by Tabassum Naz. You can also find the complete poetry collection of Tabassum Naz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tabassum Naz' above.

Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Sitam Karte Gae Aur Main Sitam Sahti Gai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.