KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha, Urdu Ghazal By Tahir Tilhari

KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tahir Tilhari. KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خلش زخم تمنا کا مداوا بھی نہ تھا

طاہر تلہری

خلش زخم تمنا کا مداوا بھی نہ تھا

میں نے وہ چاہا جو تقدیر میں لکھا بھی نہ تھا

اتنا یاد آئے گا اک روز یہ سوچا بھی نہ تھا

ہائے وہ شخص کہ جس سے کوئی رشتہ بھی نہ تھا

کیوں اسے دیکھ کے بڑھتی تھی مری تشنہ لبی

ابر پارہ بھی نہ تھا وہ کوئی دریا بھی نہ تھا

دل وہ صحرا کہ جہاں اڑتی تھی حالات کی گرد

غم وہ بادل جو کبھی کھل کے برستا بھی نہ تھا

تو نے کیوں جاگتے رہنے کی سزا دی مجھ کو

تیرے بارے میں کوئی خواب تو دیکھا بھی نہ تھا

ہو گئے لوگ یہ کیوں میرے لہو کے پیاسے

میں نے تو آنکھ اٹھا کر اسے دیکھا بھی نہ تھا

کچھ جھجکتی ہوئی نظریں بھی تھیں محو گلگشت

میں چمن زار تصور میں اکیلا بھی نہ تھا

بعض راتوں میں یہ منظر بھی نظر سے گزرا

شمع بھی جلتی رہی گھر میں اجالا بھی نہ تھا

کبھی بن جائے گی یوں یاد تری جزو حیات

میں نے اس رخ سے ترے باب میں سوچا بھی نہ تھا

آسماں اور زمیں حد نظر تک تھے محیط

ہم کہاں جاتے نکل کر کوئی رستہ بھی نہ تھا

کچھ امیدیں تھیں امنگیں تھیں تمنائیں تھیں

دل تری راہ میں نکلا تو اکیلا بھی نہ تھا

عمر بھر کرتے رہے گھر کی تمنا طاہرؔ

اور تقدیر میں دیوار کا سایہ بھی نہ تھا

طاہر تلہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha

Tahir Tilhari

KHalish-e-zaKHm-e-tamanna ka mudawa bhi na tha
main ne wo chaha jo taqdir mein likkha bhi na tha

itna yaad aaega ek roz ye socha bhi na tha
hae wo shaKHs ki jis se koi rishta bhi na tha

kyon use dekh ke baDhti thi meri tishna-labi
abr-para bhi na tha wo koi dariya bhi na tha

dil wo sahra ki jahan uDti thi haalat ki gard
gham wo baadal jo kabhi khul ke barasta bhi na tha

tu ne kyon jagte rahne ki saza di mujh ko
tere bare mein koi KHwab to dekha bhi na tha

ho gae log ye kyon mere lahu ke pyase
main ne to aankh uTha kar use dekha bhi na tha

kuchh jhijakti hui nazren bhi thin mahw-e-gul-gasht
main chaman-zar-e-tasawwur mein akela bhi na tha

baz raaton mein ye manzar bhi nazar se guzra
shama bhi jalti rahi ghar mein ujala bhi na tha

kabhi ban jaegi yun yaad teri juzw-e-hayat
main ne is ruKH se tere bab mein socha bhi na tha

aasman aur zamin hadd-e-nazar tak the muhit
hum kahan jate nikal kar koi rasta bhi na tha

kuchh umiden thin umangen thin tamannaen thin
dil teri rah mein nikla to akela bhi na tha

umr bhar karte rahe ghar ki tamanna 'tahir'
aur taqdir mein diwar ka saya bhi na tha

(367) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha written by Tahir Tilhari at UrduPoint. KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha is one of the masterpieces written by Tahir Tilhari. You can also find the complete poetry collection of Tahir Tilhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tahir Tilhari' above.

KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHalish-e-zaKHm-e-tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.