Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai, Urdu Ghazal By Tahir Tilhari

Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tahir Tilhari. Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو ہم کہیں وہی طرز بیان رکھتا ہے

طاہر تلہری

جو ہم کہیں وہی طرز بیان رکھتا ہے

وہ اپنے منہ میں ہماری زبان رکھتا ہے

رسائی تا بہ سر لا مکان رکھتا ہے

پرند فکر غضب کی اڑان رکھتا ہے

سنا ہے پاؤں تلے آسمان رکھتا ہے

فقیر شہر بڑی آن بان رکھتا ہے

وہ جس کو سایۂ دیوار تک نصیب نہیں

نہ جانے ذہن میں کتنے مکان رکھتا ہے

بہت بلیغ ہے انداز گفتگو اس کا

ہر ایک لفظ میں اک داستان رکھتا ہے

کوئی نہ دیکھ سکے اس کے گھر کی حالت زار

وہ شاید اس لیے اونچا مکان رکھتا ہے

وہ سب سے ملتا ہے ہنس کر بڑے خلوص کے ساتھ

انا کی تیغ مگر درمیان رکھتا ہے

ہمارے شہر کی آغوش وا ہے سب کے لیے

بڑی کشادہ دلی میزبان رکھتا ہے

ہمیں تو گاؤں کی آسودگی نے لوٹ لیا

جہاں فقیر بھی اپنا مکان رکھتا ہے

اسی کے سر پہ کوئی سائباں نہیں طاہرؔ

جو خود کو سب کے لیے سائبان رکھتا ہے

طاہر تلہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai

Tahir Tilhari

jo hum kahen wahi tarz-e-bayan rakhta hai
wo apne munh mein hamari zaban rakhta hai

rasai ta-ba-sar-e-la-makan rakhta hai
parind-e-fikr ghazab ki uDan rakhta hai

suna hai panw tale aasman rakhta hai
faqir-e-shahr baDi aan-ban rakhta hai

wo jis ko saya-e-diwar tak nasib nahin
na jaane zehn mein kitne makan rakhta hai

bahut baligh hai andaz-e-guftugu us ka
har ek lafz mein ek dastan rakhta hai

koi na dekh sake us ke ghar ki haalat-e-zar
wo shayad is liye uncha makan rakhta hai

wo sab se milta hai hans kar baDe KHulus ke sath
ana ki tegh magar darmiyan rakhta hai

hamare shahr ki aaghosh wa hai sab ke liye
baDi kushada-dili mezban rakhta hai

hamein to ganw ki aasudgi ne luT liya
jahan faqir bhi apna makan rakhta hai

usi ke sar pe koi saeban nahin 'tahir'
jo KHud ko sab ke liye saeban rakhta hai

(238) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai written by Tahir Tilhari at UrduPoint. Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai is one of the masterpieces written by Tahir Tilhari. You can also find the complete poetry collection of Tahir Tilhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tahir Tilhari' above.

Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Hum Kahen Wahi Tarz-e-bayan Rakhta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.