Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai, Urdu Ghazal By Taj Payami

Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taj Payami. Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر طرح کا دو جہاں میں ساز ہے سامان ہے

تاج پیامی

ہر طرح کا دو جہاں میں ساز ہے سامان ہے

لفظ کن سے ارتقا کا اور بھی امکان ہے

ذات کے عرفان سے حاصل رموز کائنات

ذات سے شاعر کے حاصل حسن کا وجدان ہے

اک تماشا ماہ و گل کا آسماں سے تا زمیں

آدمی صد رنگ جلوہ دیکھ کر حیران ہے

شرم سے رخسار گل کچھ اور گلگوں ہو گیا

اس اثر پر آئنے کی آنکھ بھی حیران ہے

آپ کی جمہوریت میں سب تو ہیں شاعر نہیں

شاعری ہر قوم کی تہذیب کی پہچان ہے

حسن کو دینا پیامیؔ شاعری کا پیرہن

فرش سے تا عرش موج رنگ کا طوفان ہے

تاج پیامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai

Taj Payami

har tarah ka do-jahan mein saz hai saman hai
lafz-e-kun se irtiqa ka aur bhi imkan hai

zat ke irfan se hasil rumuz-e-kaenat
zat se shair ke hasil husn ka wijdan hai

ek tamasha mah-o-gul ka aasman se ta-zamin
aadmi sad-rang jalwa dekh kar hairan hai

sharm se ruKHsar-e-gul kuchh aur gulgun ho gaya
is asar par aaine ki aankh bhi hairan hai

aap ki jamhuriyat mein sab to hain shair nahin
shaeri har qaum ki tahzib ki pahchan hai

husn ko dena 'payami' shaeri ka pairahan
farsh se ta-arsh mauj-e-rang ka tufan hai

(236) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai written by Taj Payami at UrduPoint. Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai is one of the masterpieces written by Taj Payami. You can also find the complete poetry collection of Taj Payami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taj Payami' above.

Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Tarah Ka Do-jahan Mein Saz Hai Saman Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.