Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai, Urdu Ghazal By Taj Payami

Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taj Payami. Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل میں وہ تھے دل تھا روشن اب خدا کا نام ہے

تاج پیامی

دل میں وہ تھے دل تھا روشن اب خدا کا نام ہے

وہ تھا آغاز محبت اور یہ انجام ہے

ضبط غم کا سلسلہ اب جزو ہستی بن گیا

چاہے جو کچھ بھی کریں وہ میرے سر الزام ہے

بستر گل پر جو محو خواب ہیں وہ جانیں کیا

زندگی خار الم ہے تیغ خوں آشام ہے

حسن کو سنجاب و مخمل عشق کو جامہ دری

بارگاہ حق سے الفت کا یہی انعام ہے

خام ہے جس کا شعور زندگی جانے وہ کیا

ہر حسیں شے میں خوشی کا آج بھی پیغام ہے

جلوہ ہائے رنگ و بو کیا دعوت فکر و نظر

زندگی کیا ہے مسلسل جستجو کا نام ہے

خون جب غنچوں کا ہوتا ہے تو کھلتے ہیں گلاب

پردۂ تخریب میں تعمیر کا پیغام ہے

چشم انساں میں ہوئی تقدیر عالم بے حجاب

مرکز تسخیر اب تو چرخ نیلی فام ہے

زندگی کا راز کیا ہے یا فنا کیا چیز ہے

تو پیامیؔ رمز سمجھے یہ خیال خام ہے

تاج پیامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai

Taj Payami

dil mein wo the dil tha raushan ab KHuda ka nam hai
wo tha aaghaz-e-mohabbat aur ye anjam hai

zabt-e-gham ka silsila ab juzw-e-hasti ban gaya
chahe jo kuchh bhi karen wo mere sar ilzam hai

bistar-e-gul par jo mahw-e-KHwab hain wo jaanen kya
zindagi KHar-e-alam hai tegh-e-KHun-asham hai

husn ko sanjab-o-maKHmal ishq ko jama-dari
bargah-e-haq se ulfat ka yahi inam hai

KHam hai jis ka shuur-e-zindagi jaane wo kya
har hasin shai mein KHushi ka aaj bhi paigham hai

jalwa-ha-e-rang-o-bu kya dawat-e-fikr-o-nazar
zindagi kya hai musalsal justuju ka nam hai

KHun jab ghunchon ka hota hai to khilte hain gulab
parda-e-taKHrib mein tamir ka paigham hai

chashm-e-insan mein hui taqdir-e-alam be-hijab
markaz-e-tasKHir ab to charKH-e-nili-fam hai

zindagi ka raaz kya hai ya fana kya chiz hai
tu 'payami' ramz samjhe ye KHayal-e-KHam hai

(261) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai written by Taj Payami at UrduPoint. Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai is one of the masterpieces written by Taj Payami. You can also find the complete poetry collection of Taj Payami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taj Payami' above.

Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Mein Wo The Dil Tha Raushan Ab KHuda Ka Nam Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.