Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک نئے عنواں سے تعمیر جہاں کرتے ہیں ہم

طالب دہلوی

اک نئے عنواں سے تعمیر جہاں کرتے ہیں ہم

آج ہر قطرے کو بحر بیکراں کرتے ہیں ہم

عشق میں کب امتیاز ایں و آں کرتے ہیں ہم

جس سے کرتے ہیں محبت بے گماں کرتے ہیں ہم

سعی کچھ کرتے بھی ہیں تو رائیگاں کرتے ہیں ہم

جو ہمیں لازم ہے طالبؔ وہ کہاں کرتے ہیں ہم

بجلیاں بے تاب ہوتی ہیں جلانے کے لئے

جب کبھی قصد بنائے آشیاں کرتے ہیں ہم

جذبۂ مہر و وفا کی آزمائش شرط ہے

امتحاں تم لے چکے اب امتحاں کرتے ہیں ہم

شکریہ بھی لوگ کہہ سکتے ہیں شکوہ بھی اسے

اختیار ایسا کچھ انداز بیاں کرتے ہیں ہم

پھر کسی نا مہرباں کی یاد تڑپانے لگی

پھر کسی نا مہرباں کو مہرباں کرتے ہیں ہم

آرزوئیں حسرتیں مایوسیاں ناکامیاں

ہیں یہی عنواں جو زیب داستاں کرتے ہیں ہم

پیار کیوں آئے نہ اپنی فطرت معصوم پر

اپنے دشمن کو بھی اپنا رازداں کرتے ہیں ہم

آنسوؤں سے تازہ تر ہیں یاد یاران قدیم

داغہائے دل کو رشک گلستاں کرتے ہیں ہم

جب یہی ایماں ہے تو پھر کیا کسی سے مشورہ

میکدے میں بیعت پیر مغاں کرتے ہیں ہم

راہ سے کیا کام رہبر کی ہمیں کیا احتیاج

بے نشاں ہو کر تلاش بے نشاں کرتے ہیں ہم

اب خدا جانے کہ اس میں بیش کیا ہے کم ہے کیا

دل نظر احساس سب نذر بتاں کرتے ہیں ہم

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum

Talib Dehlavi

ek nae unwan se tamir-e-jahan karte hain hum
aaj har qatre ko bahr-e-be-karan karte hain hum

ishq mein kab imtiyaz-e-in-o-an karte hain hum
jis se karte hain mohabbat be-guman karte hain hum

sai kuchh karte bhi hain to raegan karte hain hum
jo hamein lazim hai 'talib' wo kahan karte hain hum

bijliyan be-tab hoti hain jalane ke liye
jab kabhi qasd-e-bina-e-ashiyan karte hain hum

jazba-e-mehr-o-wafa ki aazmaish shart hai
imtihan tum le chuke ab imtihan karte hain hum

shukriya bhi log kah sakte hain shikwa bhi ise
iKHtiyar aisa kuchh andaz-e-bayan karte hain hum

phir kisi na-mehrban ki yaad taDpane lagi
phir kisi na-mehrban ko mehrban karte hain hum

aarzuen hasraten mayusiyan nakaamiyan
hain yahi unwan jo zeb-e-dastan karte hain hum

pyar kyun aae na apni fitrat-e-masum par
apne dushman ko bhi apna raaz-dan karte hain hum

aansuon se taza-tar hain yaad-e-yaran-e-qadim
dagh-ha-e-dil ko rashk-e-gulsitan karte hain hum

jab yahi iman hai to phir kya kisi se mashwara
mai-kade mein baiat-e-pir-e-mughan karte hain hum
rah se kya kaam rahbar ki hamein kya ehtiyaj
be-nishan ho kar talash-e-be-nishan karte hain hum
ab KHuda jaane ki is mein besh kya hai kam hai kya
dil nazar ehsas sab nazr-e-butan karte hain hum

(374) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Nae Unwan Se Tamir-e-jahan Karte Hain Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.