Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کی داستاں در داستاں سے کچھ نہیں ہوتا

طالب دہلوی

کسی کی داستاں در داستاں سے کچھ نہیں ہوتا

اثر جب تک نہ ہو حسن بیاں سے کچھ نہیں ہوتا

یقیں کی منزلوں میں این و آں سے کچھ نہیں ہوتا

گماں کتنا ہی بڑھ جائے گماں سے کچھ نہیں ہوتا

طلب صادق نہیں تو نارسائی کی شکایت کیا

نہ جب تک دل کی شرکت ہو زباں سے کچھ نہیں ہوتا

پگھل جاتا ہے پتھر بھی پگھل جاتا ہے آہن بھی

یہ کس نے کہہ دیا سوز نہاں سے کچھ نہیں ہوتا

حجاب درمیاں سے دید کا ارمان بڑھتا ہے

ادا مطلب حجاب درمیاں سے کچھ نہیں ہوتا

جسے مرنا نہیں آتا اسے جینا نہیں آتا

دل بے حس حیات جاوداں سے کچھ نہیں ہوتا

رقم فرمائیے خون جگر سے داستاں اپنی

کبھی عرض حدیث دیگراں سے کچھ نہیں ہوتا

بدلتے جا رہے ہیں دم بہ دم آئین مے خانہ

میان میکدہ پیر مغاں سے کچھ نہیں ہوتا

رہائی کے لئے بھی فکر کچھ اے بلبل ناداں

قفس میں صرف یاد آشیاں سے کچھ نہیں ہوتا

جو ٹھوکر مارتا ہے یہ اسی کے پاؤں پڑتی ہے

یہ دنیا ہے یہاں آہ و فغاں سے کچھ نہیں ہوتا

عبادت کے لئے اخلاص کی بے حد ضرورت ہے

نہ ہو روح بلالی تو اذاں سے کچھ نہیں ہوتا

جو ہوتا ہے مشیت کے اشارے سے وہ ہوتا ہے

کسی نا مہرباں یا مہرباں سے کچھ نہیں ہوتا

بہر عنوان ہو کر ہی رہے گا وہ جو ہونا ہے

ترے اندیشۂ سود و زیاں سے کچھ نہیں ہوتا

نہیں چلتی کسی کے سامنے طالبؔ نہیں چلتی

نظر سے کچھ نہیں ہوتا زباں سے کچھ نہیں ہوتا

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota

Talib Dehlavi

kisi ki dastan-dar-dastan se kuchh nahin hota
asar jab tak na ho husn-e-bayan se kuchh nahin hota

yaqin ki manzilon mein in-o-an se kuchh nahin hota
guman kitna hi baDh jae guman se kuchh nahin hota

talab sadiq nahin to na-rasai ki shikayat kya
na jab tak dil ki shirkat ho zaban se kuchh nahin hota

pighal jata hai patthar bhi pighal jata hai aahan bhi
ye kis ne kah diya soz-e-nihan se kuchh nahin hota

hijab-e-darmiyan se did ka arman baDhta hai
ada matlab hijab-e-darmiyan se kuchh nahin hota

jise marna nahin aata use jina nahin aata
dil-e-be-his hayat-e-jawidan se kuchh nahin hota

raqam farmaiye KHun-e-jigar se dastan apni
kabhi arz-e-hadis-e-digaran se kuchh nahin hota

badalte ja rahe hain dam-ba-dam aain-e-mai-KHana
mayan-e-mai-kada pir-e-mughan se kuchh nahin hota

rihai ke liye bhi fikr kuchh ai bulbul-e-nadan
qafas mein sirf yaad-e-ashiyan se kuchh nahin hota

jo Thokar marta hai ye usi ke panw paDti hai
ye duniya hai yahan aah-o-fughan se kuchh nahin hota

ibaadat ke liye iKHlas ki be-had zarurat hai
na ho ruh-e-bilali to azan se kuchh nahin hota

jo hota hai mashiyyat ke ishaare se wo hota hai
kisi na-mehrban ya mehrban se kuchh nahin hota

bahar-unwan ho kar hi rahega wo jo hona hai
tere andesha-e-sud-o-ziyan se kuchh nahin hota

nahin chalti kisi ke samne 'talib' nahin chalti
nazar se kuchh nahin hota zaban se kuchh nahin hota

(610) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ki Dastan-dar-dastan Se Kuchh Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.