Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں کئے جاؤں گا تقصیر کہاں تک آخر

طالب دہلوی

میں کئے جاؤں گا تقصیر کہاں تک آخر

تو نہ دے گا مجھے تعزیر کہاں تک آخر

میرے ہر حرف کی تفسیر کہاں تک آخر

جذبۂ شوق کی تشہیر کہاں تک آخر

یہ کسی طور بھی پابند نہیں ہو سکتی

پائے تخییل میں زنجیر کہاں تک آخر

نقل پھر نقل ہے کیا اصل سے نسبت اس کو

دل کو بہلائے گی تصویر کہاں تک آخر

دیر تو ہوتی ہے اندھیر نہیں ہوتا ہے

یوں سہی پھر بھی یہ تاخیر کہاں تک آخر

میں تو ہر رات نئے خواب کے لیتا ہوں مزے

آپ فرمائیں گے تعبیر کہاں تک آخر

اسے شرمندۂ ایثار و عمل ہونے دے

کام دے گی تری تقریر کہاں تک آخر

اور الجھیں گے تشدد سے مسائل اے دوست

یہ ہر اک بات میں شمشیر کہاں تک آخر

حرف آتا ہے مری ہمت مردانہ پر

شکوۂ گردش تقدیر کہاں تک آخر

جانے کیوں چشم کرم پھر گئی تیری مجھ سے

میں رہوں خستہ و دلگیر کہاں تک آخر

کبھی ہوگا بھی اثر میری دعا میں شامل

اف یہ محرومیٔ تاثیر کہاں تک آخر

کچھ اضافہ بھی تو لازم ہے ادب میں ہمدم

یہ فقط پیروی‌‌ میرؔ کہاں تک آخر

کبھی راضی بہ رضا ہو کے بھی دیکھو طالبؔ

ہر نفس کوشش و تدبیر کہاں تک آخر

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir

Talib Dehlavi

main kiye jaunga taqsir kahan tak aaKHir
tu na dega mujhe tazir kahan tak aaKHir

mere har harf ki tafsir kahan tak aaKHir
jazba-e-shauq ki tashhir kahan tak aaKHir

ye kisi taur bhi paband nahin ho sakti
pa-e-taKHyil mein zanjir kahan tak aaKHir

naql phir naql hai kya asl se nisbat us ko
dil ko bahlaegi taswir kahan tak aaKHir

der to hoti hai andher nahin hota hai
yun sahi phir bhi ye taKHir kahan tak aaKHir

main to har raat nae KHwab ke leta hun maze
aap farmaenge tabir kahan tak aaKHir

ise sharminda-e-isar-o-amal hone de
kaam degi teri taqrir kahan tak aaKHir

aur uljhenge tashaddud se masail ai dost
ye har ek baat mein shamshir kahan tak aaKHir

harf aata hai meri himmat-e-mardana par
shikwa-e-gardish-e-taqdir kahan tak aaKHir

jaane kyun chashm-e-karam phir gai teri mujh se
main rahun KHasta-o-dil-gir kahan tak aaKHir

kabhi hoga bhi asar meri dua mein shamil
uf ye mahrumi-e-tasir kahan tak aaKHir

kuchh izafa bhi to lazim hai adab mein hamdam
ye faqat pairwi-e-'mir' kahan tak aaKHir

kabhi raazi-ba-raza ho ke bhi dekho 'talib'
har nafas koshish-o-tadbir kahan tak aaKHir

(384) ووٹ وصول ہوئے

You can read Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Kiye Jaunga Taqsir Kahan Tak AaKHir, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.