Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

طوق گردن سے نہ زنجیر سے جی ڈرتا ہے

طالب دہلوی

طوق گردن سے نہ زنجیر سے جی ڈرتا ہے

ہاں تری زلف گرہ گیر سے جی ڈرتا ہے

دل تو قائل ہے ترے لطف و کرم کا لیکن

اپنی پھوٹی ہوئی تقدیر سے جی ڈرتا ہے

آپ کی چپ سے الجھتی ہے طبیعت اکثر

آپ کی شوخیٔ تقریر سے جی ڈرتا ہے

کہیں یہ بھی نہ ہو منشائے مشیت کے خلاف

اب تو ہر سعی سے تدبیر سے جی ڈرتا ہے

پہلے جو حرف بصد شوق زباں پر آیا

اب اسی حرف کی تفسیر سے جی ڈرتا ہے

منہ سے بولے نہ کبھی سر سے جو کھیلے نہ کبھی

تجھ سے بڑھ کر تری تصویر سے جی ڈرتا ہے

اس کا انجام بھی آخر کہیں تخریب نہ ہو

اس لئے ہر نئی تعمیر سے جی ڈرتا ہے

پہلے کچھ خواب تھے ایسے کہ تھے دہشت کا سبب

اب تو ہر خواب کی تعبیر سے جی ڈرتا ہے

عمر کی عمر گناہوں میں بسر کر ڈالی

اور اب آپ کا تعزیر سے جی ڈرتا ہے

صبر پڑ جائے نہ تجھ پر کہیں مظلوموں کا

ان کی فریاد کی تاثیر سے جی ڈرتا ہے

اس کے پردے میں بڑی تیرگیاں ہیں طالبؔ

اس لئے کثرت تنویر سے جی ڈرتا ہے

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai

Talib Dehlavi

tauq-e-gardan se na zanjir se ji Darta hai
han teri zulf-e-girah-gir se ji Darta hai

dil to qael hai tere lutf-o-karam ka lekin
apni phuTi hui taqdir se ji Darta hai

aap ki chup se ulajhti hai tabiat aksar
aap ki shoKHi-e-taqrir se ji Darta hai

kahin ye bhi na ho mansha-e-mashiyyat ke KHilaf
ab to har sai se tadbir se ji Darta hai

pahle jo harf ba-sad-shauq zaban par aaya
ab usi harf ki tafsir se ji Darta hai

munh se bole na kabhi sar se jo khele na kabhi
tujh se baDh kar teri taswir se ji Darta hai

is ka anjam bhi aaKHir kahin taKHrib na ho
is liye har nai tamir se ji Darta hai

pahle kuchh KHwab the aise ki the dahshat ka sabab
ab to har KHwab ki tabir se ji Darta hai

umr ki umr gunahon mein basar kar Dali
aur ab aap ka tazir se ji Darta hai

sabr paD jae na tujh par kahin mazlumon ka
un ki fariyaad ki tasir se ji Darta hai

is ke parde mein baDi tirgiyan hain 'talib'
is liye kasrat-e-tanwir se ji Darta hai

(492) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tauq-e-gardan Se Na Zanjir Se Ji Darta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.