Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جہاں والوں سے روداد جہاں کچھ اور کہتی ہے

طالب دہلوی

جہاں والوں سے روداد جہاں کچھ اور کہتی ہے

پئے اہل نظر یہ داستاں کچھ اور کہتی ہے

نئے ماحول میں عمر رواں کچھ اور کہتی ہے

بہ انداز دگر یہ داستاں کچھ اور کہتی ہے

کسی کے سامنے پہلے زباں کچھ اور کہتی تھی

بدل کر اب یہ انداز بیاں کچھ اور کہتی ہے

تری چشم سخن گو کا کوئی انداز تو دیکھے

نہاں کچھ اور کہتی ہے عیاں کچھ اور کہتی ہے

خموشی معنی دارد کہ در گفتن نمی آید

خموشی سے عبارت داستاں کچھ اور کہتی ہے

نہ اب کلیاں چٹکتی ہیں نہ غنچے مسکراتے ہیں

گلستاں سے ہوائے گلستاں کچھ اور کہتی ہے

بہ قدر حوصلہ جینے کا ارماں کیا کرے کوئی

زمانہ کی ہوا اے مہرباں کچھ اور کہتی ہے

ہمیں تو مدعا صرف ایک ہی اس میں نظر آیا

کہے سو بار گر تیری زباں کچھ اور کہتی ہے

نہاں ہے عظمت دیرینہ کی اک داستاں اس میں

چمن والوں سے خاک آشیاں کچھ اور کہتی ہے

حقیقت کس میں کتنی ہے کسے اب معتبر سمجھیں

خزاں کچھ اور بہار بے خزاں کچھ اور کہتی ہے

بہار جاوداں گلشن میں اب کچھ بھی کہے طالبؔ

قفس والوں سے یاد آشیاں کچھ اور کہتی ہے

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai

Talib Dehlavi

jahan walon se rudad-e-jahan kuchh aur kahti hai
pae-ahl-e-nazar ye dastan kuchh aur kahti hai

nae mahaul mein umr-e-rawan kuchh aur kahti hai
ba-andaz-e-digar ye dastan kuchh aur kahti hai

kisi ke samne pahle zaban kuchh aur kahti thi
badal kar ab ye andaz-e-bayan kuchh aur kahti hai

teri chashm-e-suKHan-go ka koi andaz to dekhe
nihan kuchh aur kahti hai ayan kuchh aur kahti hai

KHamoshi mani darad ki dar-e-guftan nami aayad
KHamoshi se ibarat dastan kuchh aur kahti hai

na ab kaliyan chaTakti hain na ghunche muskuraate hain
gulistan se hawa-e-gulsitan kuchh aur kahti hai

ba-qadr-e-hausla jine ka arman kya kare koi
zamane ki hawa ai mehrban kuchh aur kahti hai

hamein to muddaa sirf ek hi us mein nazar aaya
kahe sau bar gar teri zaban kuchh aur kahti hai

nihan hai azmat-e-derina ki ek dastan us mein
chaman walon se KHak-e-ashiyan kuchh aur kahti hai

haqiqat kis mein kitni hai kise ab mo'atabar samjhen
KHizan kuchh aur bahaar-e-be-KHizan kuchh aur kahti hai

bahaar-e-jawedan gulshan mein ab kuchh bhi kahe 'talib'
qafas walon se yaad-e-ashiyan kuchh aur kahti hai

(447) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jahan Walon Se Rudad-e-jahan Kuchh Aur Kahti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.