Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain, Urdu Ghazal By Talib Mehmood

Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Mehmood. Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

احباب کو مائل بہ جفا دیکھ رہے ہیں

طالب محمود

احباب کو مائل بہ جفا دیکھ رہے ہیں

کیا دیکھنے ہم آئے تھے کیا دیکھ رہے ہیں

اللہ رے معصومیٔ ارباب تمنا

پتھر کے خداؤں میں وفا دیکھ رہے ہیں

بیگانہ روی تم پہ ہی موقوف نہیں ہے

ہم جسم سے سائے کو جدا دیکھ رہے ہیں

تبلیغ جو کرتے ہیں زمانے میں وفا کی

ان کا بھی ہم انداز وفا دیکھ رہے ہیں

ہیں پیروی خضر کے انجام سے واقف

اس پر بھی ہم اک راہنما دیکھ رہے ہیں

محفل میں فقط ہم ہی نہیں طالبؔ جلوہ

اب ملتی ہے کس کس کو سزا دیکھ رہے ہیں

طالب محمود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain

Talib Mehmood

ahbab ko mail-ba-jafa dekh rahe hain
kya dekhne hum aae the kya dekh rahe hain

allah re masumi-e-arbab-e-tamanna
patthar ke KHudaon mein wafa dekh rahe hain

begana-rawi tum pe hi mauquf nahin hai
hum jism se sae ko juda dekh rahe hain

tabligh jo karte hain zamane mein wafa ki
un ka bhi hum andaz-e-wafa dekh rahe hain

hain pairwi-e-KHizr ke anjam se waqif
is par bhi hum ek rah-numa dekh rahe hain

mahfil mein faqat hum hi nahin ‘talib’-e-jalwa
ab milti hai kis kis ko saza dekh rahe hain

(543) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain written by Talib Mehmood at UrduPoint. Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain is one of the masterpieces written by Talib Mehmood. You can also find the complete poetry collection of Talib Mehmood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Mehmood' above.

Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ahbab Ko Mail-ba-jafa Dekh Rahe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.