Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt, Urdu Ghazal By Tanmay Mishra

Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tanmay Mishra. Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تنہائیوں کے بن میں کھڑے اونگھتے درخت

تنمے مشرا

تنہائیوں کے بن میں کھڑے اونگھتے درخت

گہری اداسیوں میں ہیں ڈوبے ہوئے درخت

صدیاں گزر گئی ہیں تری راہ دیکھتے

لوٹ آ کہ دیکھ جسم پہ آنے لگے درخت

کس حال میں کہاں ہیں وہ بچھڑے ہوئے پرند

بہتی ہوا سے پوچھتے رہتے ہیں یہ درخت

خانہ خرابیوں میں یہ کھلتی ہوئی ہنسی

مسمار کھنڈروں پے یہ کھلتے ہوئے درخت

اب تک کھلے ہوئے ہیں سبھی شاخچوں پے پھول

اب تک ہرے بھرے ہیں تمہارے چھوئے درخت

تھی برگ آخری کی یہی آخری دعا

مولیٰ ہمارے بعد بھی پھولے پھلے درخت

تنمے مشرا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt

Tanmay Mishra

tanhaiyon ke ban mein khaDe unghte daraKHt
gahri udasiyon mein hain Dube hue daraKHt

sadiyan guzar gai hain teri rah dekhte
lauT aa ki dekh jism pe aane lage daraKHt

kis haal mein kahan hain wo bichhDe hue parind
bahti hawa se puchhte rahte hain ye daraKHt

KHana-KHarabiyon mein ye khulti hui hansi
mismar khanDaron pe ye khulte hue daraKHt

ab tak khile hue hain sabhi shaKHchon pe phul
ab tak hare-bhare hain tumhaare chhue daraKHt

thi barg-e-aKHiri ki yahi aaKHiri dua
maula hamare baad bhi phule phale daraKHt

(565) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt written by Tanmay Mishra at UrduPoint. Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt is one of the masterpieces written by Tanmay Mishra. You can also find the complete poetry collection of Tanmay Mishra by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tanmay Mishra' above.

Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tanhaiyon Ke Ban Mein KhaDe Unghte DaraKHt, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.