PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah, Urdu Ghazal By Tarab Siddiqi

PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tarab Siddiqi. PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پنکھڑی لب ہیں تو عارض ہیں گل تر کی طرح

طرب صدیقی

پنکھڑی لب ہیں تو عارض ہیں گل تر کی طرح

مست آنکھیں ہیں چھلکتے ہوئے ساغر کی طرح

چاندنی صحن‌ چمن موج ہوا کیف بہار

تو نہیں ہے تو ہر اک شے ہے ستم گر کی طرح

اشک غم کو مرے دیکھے نہ حقارت سے کوئی

قطرہ قطرہ ہے حقیقت میں سمندر کی طرح

کیا مٹائے گا کوئی صفحۂ ہستی سے ہمیں

ہم زمانے میں نہیں حرف مکرر کی طرح

دیکھ کر آج کی تہذیب کو مائل بہ زوال

فکر خاموش ہے سنجیدہ سخنور کی طرح

تیرہ بختی ہے یہ اپنی کہ زمانے کا کرم

اپنے ہی گھر میں جو ہم رہتے ہیں بے گھر کی طرح

کون بتلائے کسے راہ روی کے آداب

اب تو رہزن بھی نظر آتے ہیں رہبر کی طرح

ہو گئی وہ بھی کسی شوخ کی زلفوں کی اسیر

نکہت گل ہے پریشاں دل مضطر کی طرح

سجدۂ شکر خدا ہم سے ادا کیا ہو طربؔ

دل تو دیوانۂ اصنام ہے آزر کی طرح

طرب صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah

Tarab Siddiqi

pankhuDi lab hain to aariz hain gul-e-tar ki tarah
mast aankhen hain chhalakte hue saghar ki tarah

chandni sahn-e-chaman mauj-e-hawa kaif-e-bahaar
tu nahin hai to har ek shai hai sitamgar ki tarah

ashk-e-gham ko mere dekhe na hiqarat se koi
qatra qatra hai haqiqat mein samundar ki tarah

kya miTaega koi safha-e-hasti se hamein
hum zamane mein nahin harf-e-mukarrar ki tarah

dekh kar aaj ki tahzib ko mail-ba-zawal
fikr KHamosh hai sanjida suKHanwar ki tarah

tira-baKHti hai ye apni ki zamane ka karam
apne hi ghar mein jo hum rahte hain be-ghar ki tarah

kaun batlae kise rah-rawi ke aadab
ab to rahzan bhi nazar aate hain rahbar ki tarah

ho gai wo bhi kisi shoKH ki zulfon ki asir
nikhat-e-gul hai pareshan dil-e-muztar ki tarah

sajda-e-shukr-e-KHuda hum se ada kya ho 'tarab'
dil to diwana-e-asnam hai aazar ki tarah

(231) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah written by Tarab Siddiqi at UrduPoint. PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah is one of the masterpieces written by Tarab Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Tarab Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tarab Siddiqi' above.

PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like PankhuDi Lab Hain To Aariz Hain Gul-e-tar Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.