Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha, Urdu Ghazal By Vafa Barahi

Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Vafa Barahi. Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ شب فرقت میں رنگ گردش ایام تھا

وفا براہی

یہ شب فرقت میں رنگ گردش ایام تھا

صبح کا تارا جسے سمجھا چراغ شام تھا

ہم سنا کرتے تھے اکثر گرمیٔ محشر کا نام

اب جو دیکھا اک ستم گر آفتاب بام تھا

امتیاز عشق تھا پھر کیسے لا سکتا تھا تاب

حشر بس اس پر بپا تھا اس کا جلوہ عام تھا

عشق پر لازم تھا خود فرہاد کا سر توڑنا

پختگی کا اس کو دعویٰ اس کو سودا خام تھا

آپ تو مختار تھے جو دل نے چاہا وہ کیا

اور پھر الٹا مجھی پر حشر میں الزام تھا

مست ساقی کی نظر کی جنبشوں کو کیا کہوں

یعنی بے پردہ جواب گردش ایام تھا

میں نشیمن میں رہا صیاد کا یوں بھی اسیر

دل میں تھا میرے قفس آنکھوں میں میری دام تھا

نامہ بر کو جان دے دی اضطراب شوق میں

بس یہی نامہ مرا تھا بس یہی پیغام تھا

امتحان عشق اس نے کیوں لیا اے اہل عشق

پختہ کاروں کی طرف سے کیا خیال خام تھا

مجھ کو جب سے ہوش ہے لاکھوں طرح کے غم میں ہوں

ہوش میں جب تک نہ تھا مجھ کو بہت آرام تھا

کیا وفاؔ کی سرگزشت غم کہوں یادش بخیر

مر رہا تھا اور لب پر آپ ہی کا نام تھا

وفا براہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha

Vafa Barahi

ye shab-e-furqat mein rang-e-gardish-e-ayyam tha
subh ka tara jise samjha charagh-e-sham tha

hum suna karte the aksar garmi-e-mahshar ka nam
ab jo dekha ek sitamgar aaftab-e-baam tha

imtiyaz-e-ishq tha phir kaise la sakta tha tab
hashr bas is par bapa tha us ka jalwa aam tha

ishq par lazim tha KHud farhad ka sar toDna
puKHtagi ka us ko dawa us ko sauda KHam tha

aap to muKHtar the jo dil ne chaha wo kiya
aur phir ulTa mujhi par hashr mein ilzam tha

mast saqi ki nazar ki jumbihson ko kya kahun
yani be-parda jawab-e-gardish-e-ayyam tha

main nasheman mein raha sayyaad ka yun bhi asir
dil mein tha mere qafas aankhon mein meri dam tha

nama-bar ko jaan de di iztirab-e-shauq mein
bas yahi nama mera tha bas yahi paigham tha

imtihan-e-ishq us ne kyon liya ai ahl-e-ishq
puKHta-karon ki taraf se kya KHayal-e-KHam tha

mujh ko jab se hosh hai lakhon tarah ke gham mein hun
hosh mein jab tak na tha mujh ko bahut aaram tha

kya 'wafa' ki sarguzisht-e-gham kahun yaadash-ba-KHair
mar raha tha aur lab par aap hi ka nam tha

(256) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha written by Vafa Barahi at UrduPoint. Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha is one of the masterpieces written by Vafa Barahi. You can also find the complete poetry collection of Vafa Barahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Vafa Barahi' above.

Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Shab-e-furqat Mein Rang-e-gardish-e-ayyam Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.