Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki, Urdu Ghazal By Aabid Umar

Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aabid Umar. Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki comes under the category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کیا پڑی ہے تجھے دل جلوں میں بیٹھنے کی

عابد عمر

یہ کیا پڑی ہے تجھے دل جلوں میں بیٹھنے کی

یہ عمر تو ہے میاں دوستوں میں بیٹھنے کی

چھپائی جاتی نہیں زردیاں سو دور ہوں میں

وگرنہ ہوتی ہے خواہش گلوں میں بیٹھنے کی

شمار میرا بھی کرتے ہیں لوگ ان میں مگر

مری مجال کہاں شاعروں میں بیٹھنے کی

ابھی نہ انگلی اٹھا مجھ پہ تھوڑی مہلت دے

تمیز سیکھ رہا ہوں بڑوں میں بیٹھنے کی

مجھے بدل کے کوئی اور ہی بنا دیا ہے

کہ انتہا ہے یہ صورت گروں میں بیٹھنے کی

دکھا رہے ہیں تواتر سے خامیاں میری

بھگت رہا ہوں سزا آئنوں میں بیٹھنے کی

نہیں مجال کسی کی کہ منتشر کر دے

بنا چکے ہیں جو عادت صفوں میں بیٹھنے کی

خزانے لٹتے رہیں گے یہ خالی ہونے تک

اجاڑ دے گی یہ عادت گھروں میں بیٹھنے کی

خدا عطا کرے عہدہ بڑا غریب کو اور

بدل سکے نہ وہ خو نوکروں میں بیٹھنے کی

خوشامدی نہیں رکھتا ہے اپنے کام سے کام

تو کیا پڑی ہے تجھے افسروں میں بیٹھنے کی

یہ دل اسکین کرانا بہت ضروری ہے

کہ اطلاع ہے ترے دھڑکنوں میں بیٹھنے کی

حیات سوئے عدم لے کے جا رہی ہیں عمرؔ

جو عادتیں ہیں گئے موسموں میں بیٹھنے کی

عابد عمر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki

Aabid Umar

ye kya paDi hai tujhe dil jalon mein baiThne ki
ye umr to hai miyan doston mein baiThne ki

chhupai jati nahin zardiyan so dur hun main
wagarna hoti hai KHwahish gulon mein baiThne ki

shumar mera bhi karte hain log in mein magar
meri majal kahan shairon mein baiThne ki

abhi na ungli uTha mujh pe thoDi mohlat de
tamiz sikh raha hun baDon mein baiThne ki

mujhe badal ke koi aur hi bana diya hai
ki intiha hai ye surat-garon mein baiThne ki

dikha rahe hain tawatur se KHamiyan meri
bhagat raha hun saza aainon mein baiThne ki

nahin majal kisi ki ki muntashir kar de
bana chuke hain jo aadat safon mein baiThne ki

KHazane luTte rahenge ye KHali hone tak
ujaD degi ye aadat gharon mein baiThne ki

KHuda ata kare ohda baDa gharib ko aur
badal sake na wo KHu naukaron mein baiThne ki

KHushamadi nahin rakhta hai apne kaam se kaam
to kya paDi hai tujhe afsaron mein baiThne ki

ye dil scan karana bahut zaruri hai
ki ittilaa hai tere dhaDkanon mein baiThne ki

hayat su-e-adam le ke ja rahi hain 'umar'
jo aadaten hain gae mausamon mein baiThne ki

(940) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki written by Aabid Umar at UrduPoint. Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki is one of the masterpieces written by Aabid Umar. You can also find the complete poetry collection of Aabid Umar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aabid Umar' above.

Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kya PaDi Hai Tujhe Dil Jalon Mein BaiThne Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.