Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise, Urdu Ghazal By Aalam Nizami

Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aalam Nizami. Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رنگ ایثار کے چہرے کا نکھرتا کیسے

عالم نظامی

رنگ ایثار کے چہرے کا نکھرتا کیسے

زخم احباب نہ دیتے تو سنورتا کیسے

مری قسمت میں بلندی کا سفر لکھا تھا

سازش وقت سے پستی میں اترتا کیسے

حوصلہ تھا مرا مضبوط پہاڑوں کی طرح

ٹوٹ کر تنکوں کی مانند بکھرتا کیسے

سایہ تھا ہی نہیں مالی کا چمن کے سر پر

رنگ پھولوں کا یتیمی میں نکھرتا کیسے

مدتوں رہنا تھا جس پیڑ کے سائے میں مجھے

اس کی شاخوں کو بتاؤ میں کترتا کیسے

میں نے چاہا تھا ذرا دیر وہ ٹھہرے عالمؔ

وہ تو بہتا ہوا دریا تھا ٹھہرتا کیسے

عالم نظامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise

Aalam Nizami

rang isar ke chehre ka nikharta kaise
zaKHm ahbab na dete to sanwarta kaise

meri qismat mein bulandi ka safar likkha tha
sazish-e-waqt se pasti mein utarta kaise

hausla tha mera mazbut pahaDon ki tarah
TuT kar tinkon ki manind bikharta kaise

saya tha hi nahin mali ka chaman ke sar par
rang phulon ka yatimi mein nikharta kaise

muddaton rahna tha jis peD ke sae mein mujhe
us ki shaKHon ko batao main kutarta kaise

main ne chaha tha zara der wo Thahre 'alam'
wo to bahta hua dariya tha Thaharta kaise

(658) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise written by Aalam Nizami at UrduPoint. Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise is one of the masterpieces written by Aalam Nizami. You can also find the complete poetry collection of Aalam Nizami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aalam Nizami' above.

Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rang Isar Ke Chehre Ka Nikharta Kaise, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.