Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko, Urdu Ghazal By Abdul Aleem Aasi

Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Aleem Aasi. Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنی ہستی سے تھا خود میں بد گماں کل رات کو

عبدالعلیم آسی

اپنی ہستی سے تھا خود میں بد گماں کل رات کو

کچھ نہ تھا اندیشۂ سود و زیاں کل رات کو

چاندنی برسات صحن گلستاں دل کش ہوا

تھیں ہجوم غم میں یہ رنگینیاں کل رات کو

وسعت تخیئل کے حلقے میں تھا عرش بریں

دیکھتی تھیں چشم دل کون و مکاں کل رات کو

مل رہے تھے دست الفت سے مجھے جام شراب

مہرباں تھا وہ بت نا مہرباں کل رات کو

وہ محبت کی نگاہیں وہ محبت کے کلام

ہاں دوبالا تھی ادائے دل ستاں کل رات کو

ہر نظر پیغام ہر انداز میں رقصاں امید

اور ہی تھا اس کا طرز امتحاں کل رات کو

عفت الفت سے تھی آئینۂ دل کی جلا

ورنہ تھا جذبات کا دریا رواں کل رات کو

ذوق سے وہ سن رہے تھے داستان غم مری

ہو رہا تھا انقلاب آسماں کل رات کو

دل کی اک آواز تھی اس بزم میں تفسیر غم

ہو چکے تھے وہ بھی مجبور فغاں کل رات کو

تفرقہ بے اعتمادی دشمنی مکر و فریب

تھی تری تعبیر اے ہندوستاں کل رات کو

سو چکے تھے چند ہی گھنٹوں میں ارباب نشاط

صبح تک تھا ساتھ وہ آرام جاں کل رات کو

رنگ صہبا چشم نرگس میں تھا آسیؔ وقت صبح

جاگنے سے ہو رہی تھیں خوں فشاں کل رات کو

عبدالعلیم آسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko

Abdul Aleem Aasi

apni hasti se tha KHud main bad-guman kal raat ko
kuchh na tha andesha-e-sud-o-ziyan kal raat ko

chandni barsat sehn-e-gulistan dilkash hawa
thin hujum-e-gham mein ye ranginiyan kal raat ko

wusat-e-taKHil ke halqe mein tha arsh-e-barin
dekhti thin chashm-e-dil kaun-o-makan kal raat ko

mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jam-e-sharab
mehrban tha wo but-e-na-mehraban kal raat ko

wo mohabbat ki nigahen wo mohabbat ke kalam
han do-baala thi ada-e-dil-satan kal raat ko

har nazar paigham har andaz mein raqsan ummid
aur hi tha us ka tarz-e-imtihan kal raat ko

iffat-e-ulfat se thi aaina-e-dil ki jila
warna tha jazbaat ka dariya rawan kal raat ko

zauq se wo sun rahe the dastan-e-gham meri
ho raha tha inqilab-e-asman kal raat ko

dil ki ek aawaz thi is bazm mein tafsir-e-gham
ho chuke the wo bhi majbur-e-fughan kal raat ko

tafarqe be-aitmadi dushmani makr-o-fareb
thi teri tabir ai hindostan kal raat ko

so chuke the chand hi ghanTon mein arbab-e-nashat
subh tak tha sath wo aaram-e-jaan kal raat ko

rang-e-sahba chashm-e-nargis mein tha 'asi' waqt-e-subh
jagne se ho rahi thin KHun-fishan kal raat ko

(1078) ووٹ وصول ہوئے

You can read Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko written by Abdul Aleem Aasi at UrduPoint. Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko is one of the masterpieces written by Abdul Aleem Aasi. You can also find the complete poetry collection of Abdul Aleem Aasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Aleem Aasi' above.

Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.