Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar, Urdu Ghazal By Abdul Aleem Aasi

Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Aleem Aasi. Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس سے امید وفا اے دل ناشاد نہ کر

عبدالعلیم آسی

اس سے امید وفا اے دل ناشاد نہ کر

زندگی اپنی اس ارمان میں برباد نہ کر

گلۂ جور نہ کر شکوۂ بیدار نہ کر

ظلم سہنے کا مزا یہ ہے کہ فریاد نہ کر

خلوت دل ہے ترے آ کے ٹھہرنے کی جگہ

تیری مرضی اسے برباد کر آباد نہ کر

باغباں تاک میں ہے گھات میں صیاد ہے دیکھ

سیر گلشن ابھی اے بلبل ناشاد نہ کر

کچھ تڑپنے کا سسکنے کا مزا لینے دے

اتنی تعجیل مرے قتل میں جلاد نہ کر

اب مجھے طاقت پرواز نہیں اے صیاد

رہنے دے قید قفس سے مجھے آزاد نہ کر

اوپری دل سے سہی کچھ تو تسلی ہو جائے

صاف انکار سے ظالم مجھے ناشاد نہ کر

در محبوب تک اے بخت مجھے پہونچا دے

اور کچھ اس سے سوا تو مری امداد نہ کر

بے دھڑک جان سبھی اہل وفا دیتے ہیں

تو فقط مدحت جانبازئ فرہاد نہ کر

غم دل دار نے رگ رگ کا لہو چوس لیا

مجھ سے اب چھیڑ تو اے نشتر فولاد نہ کر

لاکھ دشوار سہی ضبط فغاں اے بلبل

مگر اک اف بھی تو بے مرضیٔ صیاد نہ کر

صدمۂ ہجر کے شکوؤں پہ وہ بولے شب وصل

گئی گزری ہوئی باتوں کو تو اب یاد نہ کر

اے دل اس شوخ کی تصویر تصور میں تو کھینچ

کام مانی سے نہ رکھ منت بہزاد نہ کر

آسیؔٔ بے سر و ساماں کو پڑا رہنے دے

اپنے کوچہ سے اٹھا کر اسے ناشاد نہ کر

عبدالعلیم آسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar

Abdul Aleem Aasi

us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar
zindagi apni is arman mein barbaad na kar

gila-e-zaur na kar shikwa-e-bedar na kar
zulm sahne ka maza ye hai ki fariyaad na kar

KHalwat-e-dil hai tere aa ke Thaharne ki jagah
teri marzi use barbaad kar aabaad na kar

baghban tak mein hai ghat mein sayyaad hai dekh
sair-e-gulshan abhi ai bulbul-e-nashad na kar

kuchh taDapne ka sisakne ka maza lene de
itni tajil mere qatl mein jallad na kar

ab mujhe taqat-e-parwaz nahin ai sayyaad
rahne de qaid qafas se mujhe aazad na kar

upri dil se sahi kuchh to tasalli ho jae
saf inkar se zalim mujhe nashad na kar

dar-e-mahbub tak ai baKHt mujhe pahuncha de
aur kuchh us se siwa tu meri imdad na kar

be-dhaDak jaan sabhi ahl-e-wafa dete hain
tu faqat midhat-e-jabazi-e-farhad na kar

gham-e-dildar ne rag rag ka lahu chus liya
mujh se ab chheD tu ai nashtar-e-faulad na kar

lakh dushwar sahi zabt-e-fughan ai bulbul
magar ek uf bhi to be-marzi-e-sayyaad na kar

sadma-e-hijr ke shikwon pe wo bole shab-e-wasl
gai guzri hui baaton ko tu ab yaad na kar

ai dil us shoKH ki taswir tasawwur mein to khinch
kaam mani se na rakh minnat-e-bahzad na kar

'asi'-e-be-sar-o-saman ko paDa rahne de
apne kuche se uTha kar use nashad na kar

(858) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar written by Abdul Aleem Aasi at UrduPoint. Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar is one of the masterpieces written by Abdul Aleem Aasi. You can also find the complete poetry collection of Abdul Aleem Aasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Aleem Aasi' above.

Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.