Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil, Urdu Ghazal By Abul Baqa Sabr Saharanpuri

Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abul Baqa Sabr Saharanpuri. Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرا ہے دو جہاں میں رہنما دل

ابوالبقاء صبر سہارنپوری

مرا ہے دو جہاں میں رہنما دل

پیمبر دل ہے کعبہ دل خدا دل

ملا جیسا مجھے اک بے وفا دل

کسی کو بھی نہ دے ایسا خدا دل

یہ آئینہ کدورت سے بری ہے

صفائی میں ہے میرا حق نما دل

یہاں پیری نہیں چلتی خضر کی

طریق عشق میں ہے رہنما دل

بگڑتا ہے وہ ظالم مجھ سے جتنا

مرا آتا ہے اور اس پر سوا دل

جہاں میں صاحب قسمت وہی ہے

مقدر سے ہوا جس کو عطا دل

ہے ہر دم مضطرب ہر لحظہ بیتاب

مجھے بھی کیا ملا سب سے جدا دل

جو پوچھے دشمن جاں ہے ترا کون

کہوں میں سیکڑوں میں برملا دل

نکلنے کی کہیں جب رہ نہ پائی

تو خوں ہو ہو کے آنکھوں سے بہا دل

بلا کے دام میں جا کر پھنسا ہے

نہ تیری زلف سے ہوگا رہا دل

مرے پہلو میں آخر کیوں ہے بیتاب

دکھاتا پھر رہا ہوں جا بجا دل

تمنا دل ہے اپنا دل ہے مطلب

ہماری آرزو دل مدعا دل

ترے خنجر نے بخشی عمر جاوید

دعا گو ہوں میں قاتل لب سے تا دل

ابھی چھیڑو نہ مجھ کو اے نکیرین

ٹھکانے پر تو آنے دو ذرا دل

زمانے کی زباں پر دل ہی دل ہے

بتائے تو کوئی ہے چیز کیا دل

ہماری صبرؔ دل سے چل رہی ہے

یہی جی میں ہے اب تو ہم ہیں یا دل

ابوالبقاء صبر سہارنپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil

Abul Baqa Sabr Saharanpuri

mera hai do-jahan mein rahnuma dil
payambar dil hai kaba dil KHuda dil

mila jaisa mujhe ek bewafa dil
kisi ko bhi na de aisa KHuda dil

ye aaina kudurat se bari hai
safai mein hai mera haq-numa dil

yahan piri nahin chalti KHizar ki
tariq-e-ishq mein hai rahnuma dil

bigaDta hai wo zalim mujh se jitna
mera aata hai aur us par siwa dil

jahan mein sahib-e-qismat wahi hai
muqaddar se hua jis ko ata dil

hai har dam muztarib har lahza betab
mujhe bhi kya mila sab se juda dil

jo puchhe dushman-e-jaan hai tera kaun
kahun main saikDon mein barmala dil

nikalne ki kahin jab rah na pai
to KHun ho ho ke aankhon se baha dil

bala ke dam mein ja kar phansa hai
na teri zulf se hoga riha dil

mere pahlu mein aaKHir kyon hai betab
dikhata phir raha hun ja-ba-ja dil

tamanna dil hai apna dil hai matlab
hamari aarzu dil muddaa dil

tere KHanjar ne baKHshi umr-e-jawed
dua-go hun main qatil lab se ta-dil

abhi chheDo na mujh ko ai nakirain
Thikane par to aane do zara dil

zamane ki zaban par dil hi dil hai
batae to koi hai chiz kya dil

hamari 'sabr' dil se chal rahi hai
yahi ji mein hai ab to hum hain ya dil

(523) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil written by Abul Baqa Sabr Saharanpuri at UrduPoint. Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil is one of the masterpieces written by Abul Baqa Sabr Saharanpuri. You can also find the complete poetry collection of Abul Baqa Sabr Saharanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abul Baqa Sabr Saharanpuri' above.

Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mera Hai Do-jahan Mein Rahnuma Dil, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.