Machchhar Aur Machchraniyan, Urdu Nazam By Afsar Merathi

Machchhar Aur Machchraniyan is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Afsar Merathi. Machchhar Aur Machchraniyan comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Machchhar Aur Machchraniyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مچھر اور مچھرانیاں

افسر میرٹھی

ٹوٹی پھوٹی موری میں اک مچھر صاحب رہتے ہیں

شاید وہ گھر میں بھی اپنے مچھر ہی کہلاتے ہیں

بیویاں ان کی چار عدد ہیں مچھرانی کہلاتی ہیں

موری والے گھر میں ہی جی چاروں سے بہلاتے ہیں

اک دن وہ گھر سے نکلے تو واپس آنا بھول گئے

میں تو جانوں اسی طرح سے روز کہیں اڑ جاتے ہیں

بیویاں ان کی چپ بیٹھی تھیں لیکن فکر تھی سب کو ہی

چاروں آپس میں کہتی تھیں اب آتے اب آتے ہیں

پہلی بولی سچ کہتی ہوں میں عادت سے واقف ہوں

آڑے ترچھے اڑتے وہ اب بین بجاتے آتے ہیں

دوسری بولی سچ کہتی ہوں میں عادت سے واقف ہوں

لال کھٹولا ہرے بھرے تکیے ان پر لوٹ لگاتے ہیں

تیسری بولی سچ کہتی ہوں میں عادت سے واقف ہوں

کوڑا گھر کے خمیر کے اوپر رہ رہ کر منڈلاتے ہیں

چوتھی بولی سچ کہتی ہوں میں عادت سے واقف ہوں

باسی باسی پھلوں کے رس میں خوش ہو ہو کے نہاتے ہیں

افسر میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Machchhar Aur Machchraniyan

Afsar Merathi

TuTi phuTi mori mein ek machchhar sahab rahte hain
shayad wo ghar mein bhi apne machchhar hi kahlate hain
biwiyan un ki chaar adad hain machchrani kahlati hain
mori wale ghar mein hi ji chaaron se bahlate hain
ek din wo ghar se nikle to wapas aana bhul gae
main to jaanun isi tarah se roz kahin uD jate hain
biwiyan un ki chup baiThi thin lekin fikr thi sab ko hi
chaaron aapas mein kahti thin ab aate ab aate hain
pahli boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
aaDe tirchhe uDte wo ab bin bajate aate hain
dusri boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
lal khaTola hare bhare takiye un par loT lagate hain
tisri boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
kuDa ghar ke KHamir ke upar rah rah kar manDlate hain
chauthi boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
basi basi phalon ke ras mein KHush ho ho ke nahate hain

(1026) ووٹ وصول ہوئے

You can read Machchhar Aur Machchraniyan written by Afsar Merathi at UrduPoint. Machchhar Aur Machchraniyan is one of the masterpieces written by Afsar Merathi. You can also find the complete poetry collection of Afsar Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afsar Merathi' above.

Machchhar Aur Machchraniyan is a widely read Urdu Nazam. If you like Machchhar Aur Machchraniyan, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.