Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai, Urdu Ghazal By Aftab Hussain

Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aftab Hussain. Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بس ایک بات کی اس کو خبر ضروری ہے

آفتاب حسین

بس ایک بات کی اس کو خبر ضروری ہے

کہ وہ ہمارے لیے کس قدر ضروری ہے

دلوں میں درد کی دولت بچا بچا کے رکھو

یہ وہ متاع ہے جو عمر بھر ضروری ہے

نہیں ضرور کہ مقدور ہو تو ساتھ رکھیں

کبھی کبھار مگر نوحہ گر ضروری ہے

کبھی تو کھیل پرندے بھی ہار جاتے ہیں

ہوا کہیں کی بھی ہو مستقر ضروری ہے

یہ کیا ضرور کہ مست اپنے آپ ہی میں رہیں

ادھر ادھر کی بھی کچھ کچھ خبر ضروری ہے

مفر نہیں غم دنیا سے آفتاب حسینؔ

بہت کٹھن ہے یہ منزل مگر ضروری ہے

آفتاب حسین

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai

Aftab Hussain

bas ek baat ki us ko KHabar zaruri hai
ki wo hamare liye kis qadar zaruri hai

dilon mein dard ki daulat bacha bacha ke rakho
ye wo mataa hai jo umr bhar zaruri hai

nahin zarur ki maqdur ho to sath rakhen
kabhi-kabhaar magar nauhagar zaruri hai

kabhi to khel parinde bhi haar jate hain
hawa kahin ki bhi ho mustaqar zaruri hai

ye kya zarur ki mast apne aap hi mein rahen
idhar udhar ki bhi kuchh kuchh KHabar zaruri hai

mafar nahin gham-e-duniya se 'aftab-husain'
bahut kaThin hai ye manzil magar zaruri hai

(676) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai written by Aftab Hussain at UrduPoint. Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai is one of the masterpieces written by Aftab Hussain. You can also find the complete poetry collection of Aftab Hussain by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aftab Hussain' above.

Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bas Ek Baat Ki Usko KHabar Zaruri Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.