Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai, Urdu Ghazal By Aftab Hussain

Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aftab Hussain. Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی نظر نے مجھے جام پر لگایا ہوا ہے

آفتاب حسین

کسی نظر نے مجھے جام پر لگایا ہوا ہے

سو کرتا رہتا ہوں جس کام پر لگایا ہوا ہے

غلط پڑے نہ کہیں پہلا ہی قدم یہ ہمارا

کہ ہم نے آنکھ کو انجام پر لگایا ہوا ہے

تمام شہر مشرف بہ کفر ہو کے رہے گا

یہ جس قماش کے اسلام پر لگایا ہوا ہے

لگا رکھے ہیں ہزاروں ہی اپنے کام پر اس نے

ہمیں بھی کوشش ناکام پر لگایا ہوا ہے

پلاتا رہتا ہوں دن رات اپنی آنکھ سے پانی

شجر یہ دل میں ترے نام پر لگایا ہوا ہے

وہ اور ہوں گے جو آرام سے گزار رہے ہیں

ہمیں تو اس نے کہیں لام پر لگایا ہوا ہے

آفتاب حسین

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai

Aftab Hussain

kisi nazar ne mujhe jam par lagaya hua hai
so karta rahta hun jis kaam par lagaya hua hai

ghalat paDe na kahin pahla hi qadam ye hamara
ki hum ne aankh ko anjam par lagaya hua hai

tamam shahr musharif-ba-kufr ho ke rahega
ye jis qimash ke islam par lagaya hua hai

laga rakhe hain hazaron hi apne kaam par us ne
hamein bhi koshish-e-nakaam par lagaya hua hai

pilata rahta hun din-raat apni aankh se pani
shajar ye dil mein tere nam par lagaya hua hai

wo aur honge jo aaram se guzar rahe hain
hamein to us ne kahin lam par lagaya hua hai

(579) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai written by Aftab Hussain at UrduPoint. Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai is one of the masterpieces written by Aftab Hussain. You can also find the complete poetry collection of Aftab Hussain by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aftab Hussain' above.

Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.