Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جوانی آئی مراد پر جب امنگ جاتی رہی بشر کی

آغا حجو شرف

جوانی آئی مراد پر جب امنگ جاتی رہی بشر کی

نصیب ہوتے ہی چودھویں شب شکوہ رخصت ہوئی قمر کی

وہ شوخ چتون تھی کس ستم کی کہ جس نے چشمک کہیں نہ کم کی

کسی طرف کو جو برق چمکی تو سمجھے گردش اسے نظر کی

ترا ہی دنیا میں ہے فسانہ ترا ہی شیدائی ہے زمانہ

ترے ہی غم میں ہوئیں روانہ نکل کے روحیں خدائی بھر کی

نہ آسماں ہے نہ وہ زمیں ہے مکاں نہیں وہ جہاں مکیں ہے

پیمبروں کا گزر نہیں ہے رسائی ہے میرے نامہ بر کی

کھنچا جو طول شب جدائی اندھیری مدفن کی یاد آئی

نگاہ و دل پر وہ یاس چھائی امید جاتی رہی سحر کی

جو عشق بازوں کو آزمایا لگا کے چھریاں یہ قہر ڈھایا

یہاں یہاں تک لہو بہایا کہ نوبت آئی کمر کمر کی

گرے جو کچھ سرخ گل زمیں پر کہا یہ بلبل نے خاک اڑا کر

ہوا ہے وعدہ مرا برابر یہ صورتیں ہیں مرے جگر کی

مقام عبرت ہے آہ اے دل خدا ہی کی ہے پناہ اے دل

نہیں ہے کچھ زاد راہ اے دل عدم سے تاکید ہے سفر کی

یہ ہم نے کیسا سفر کیا ہے مسافروں کو رلا دیا ہے

اجل نے آغوش میں لیا ہے خبر بھی ہم کو نہیں سفر کی

وہ جلد یارب انہیں کو تاکے لگا دے دو تیر ان پر آ کے

یہ دونوں رہ جائیں پھڑپھڑا کے میں دیکھوں لاشیں دل و جگر کی

کسی کا معشوق چھوٹتا ہے سحر کا وقت اس کو لوٹتا ہے

کوئی یہ سینے کو کوٹتا ہے نہیں ہے آواز یہ گجر کی

کھچا ہے زرتار شامیانہ گلوں سے آتی ہے بو شہانہ

دکھا کے قدرت کا کارخانہ لحد نے حسرت بھلا دی گھر کی

غشی کا عالم وہ زور پر ہے مزاج صحت سے بے خبر ہے

دوا کا غفلت زدہ اثر ہے خبر دوا کو نہیں اثر کی

شباب نے خود نما بنایا یہ ناز خوش روئی نے جتایا

حیا میں جس وقت فرق آیا تو ان کے مکھڑے سے زلف سرکی

ہوا ہوں چورنگ تیغ حسرت کہ دفن کی ہے مری یہ صورت

کسی طرف کو ہے دل کی تربت کہیں ہے تربت مرے جگر کی

جو اس نے ضد کی تو آفت آئی دہائی دینے لگی خدائی

قیامت اس بے وفا نے ڈھائی ادھر کی دنیا شرفؔ ادھر کی

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki

Agha Hajju Sharaf

jawani aai murad par jab umang jati rahi bashar ki
nasib hote hi chaudhwin shab shikoh ruKHsat hui qamar ki

wo shoKH chitwan thi kis sitam ki ki jis ne chashmak kahin na kam ki
kisi taraf ko jo barq chamki to samjhe gardish use nazar ki

tera hi duniya mein hai fasana tera hi shaidai hai zamana
tere hi gham mein huin rawana nikal ke ruhen KHudai bhar ki

na aasman hai na wo zamin hai makan nahin wo jahan makin hai
payambaron ka guzar nahin hai rasai hai mere nama-bar ki

khincha jo tul-e-shab-e-judai andheri madfan ki yaad aai
nigah o dil par wo yas chhai umid jati rahi sahar ki

jo ishq-bazon ko aazmaya laga ke chhuriyan ye qahr Dhaya
yahan yahan tak lahu bahaya ki naubat aai kamar kamar ki

gire jo kuchh surKH gul zamin par kaha ye bulbul ne KHak uDa kar
hua hai wada mera barabar ye suraten hain mere jigar ki

maqam-e-ibrat hai aah ai dil KHuda hi ki hai panah ai dil
nahin hai kuchh zad-e-rah ai dil adam se takid hai safar ki

ye hum ne kaisa safar kiya hai musafiron ko rula diya hai
ajal ne aaghosh mein liya hai KHabar bhi hum ko nahin safar ki

wo jald ya-rab inhin ko take laga de do tir in par aa ke
ye donon rah jaen phaDphaDa ke main dekhun lashen dil o jigar ki

kisi ka mashuq chhuTta hai sahar ka waqt us ko luTta hai
koi ye sine ko kuTta hai nahin hai aawaz ye gajar ki

khicha hai zartar shamiyana gulon se aati hai bu shahana
dikha ke qudrat ka karKHana lahad ne hasrat bhula di ghar ki

ghashi ka aalam wo zor par hai mizaj-e-sehhat se be-KHabar hai
dawa ka ghaflat-zada asar hai KHabar dawa ko nahin asar ki

shabab ne KHud-numa banaya ye naz-e-KHushrui ne jataya
haya mein jis waqt farq aaya to un ke mukhDe se zulf sarki

hua hun chaurang tegh-e-hasrat ki dafn ki hai meri ye surat
kisi taraf ko hai dil ki turbat kahin hai turbat mere jigar ki

jo us ne zid ki to aafat aai duhai dene lagi KHudai
qayamat us bewafa ne Dhai idhar ki duniya 'sharaf' udhar ki

(812) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.