Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ناحق و حق کا انہیں خوف و خطر کچھ بھی نہیں

آغا حجو شرف

ناحق و حق کا انہیں خوف و خطر کچھ بھی نہیں

بے خبر ہیں وہ زمانے کی خبر کچھ بھی نہیں

دھوم ہی دھوم تھی مدفن کی مگر کچھ بھی نہیں

خاک اس گھر میں بسر ہوگی یہ گھر کچھ بھی نہیں

ہائے افسوس ہوئی کون سی صحبت برخاست

شب کو معراج میں تھے وقت سحر کچھ بھی نہیں

کہہ رہی ہے یہ مرے دل سے محبت اس کی

ہوں تو اکسیر مگر مجھ میں اثر کچھ بھی نہیں

آ رہی ہے یہ صدا گور کے سناٹے سے

میں وہ عالم ہوں جہاں شام و سحر کچھ بھی نہیں

اس نزاکت سے تو میں کاہے کو بسمل ہوں گا

تم چھری پھیرتے ہو مجھ کو خبر کچھ بھی نہیں

ہاتف عشق تو کہتا ہے ادھر سب کچھ ہے

عالم یاس یہ کہتا ہے ادھر کچھ بھی نہیں

آنکھ پھر جاتی ہے معشوقوں کی مایوسوں سے

غمزدہ کچھ نہیں حسرت کی نظر کچھ بھی نہیں

تربت قیس سے کہتی ہے لپٹ کر لیلیٰ

ہم تڑپتے ہیں پڑے تم کو خبر کچھ بھی نہیں

منزل گور میں کیا جانیے کیا گزرے گی

تازہ وارد ہیں ابھی ہم کو خبر کچھ بھی نہیں

لن ترانی کی جو تاکید ہے اے دل یہ کھلا

باب دیدار میں منظور نظر کچھ بھی نہیں

خواب دیکھا تھا کہ تھا وصل کی شب کا سامان

جشن تھا رات کو ہنگام سحر کچھ بھی نہیں

اس کو گہری اسے یہ اوچھی چھری واہ اے یار

زخم دل گھاؤ ہوا زخم جگر کچھ بھی نہیں

رشتۂ جاں سے بھی نازک ہے وہ باریکی میں

گل کی رگ پھر ہے گداز اس کی کمر کچھ بھی نہیں

قبر میں حوروں کے آنے کا اٹھائیں کیا لطف

دیدہ و جسم و دل و جان و جگر کچھ بھی نہیں

راس آ جائے گی جس کو وہ اسے چاہیں گے

پھر محبت میں سبھی کچھ ہے اگر کچھ بھی نہیں

مطمئن ہوں رہ عصیاں میں تری رحمت سے

وہ مسافر ہوں کہ تشویش سفر کچھ بھی نہیں

اے شرفؔ ہے گل مقصود کے ہر سو بوچھار

واہ اے خوبیٔ قسمت کہ ادھر کچھ بھی نہیں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin

Agha Hajju Sharaf

nahaq o haq ka unhen KHauf-o-KHatar kuchh bhi nahin
be-KHabar hain wo zamane ki KHabar kuchh bhi nahin

dhum hi dhum thi madfan ki magar kuchh bhi nahin
KHak is ghar mein basar hogi ye ghar kuchh bhi nahin

hae afsos hui kaun si sohbat barKHast
shab ko mearaj mein the waqt-e-sahar kuchh bhi nahin

kah rahi hai ye mare dil se mohabbat us ki
hun to iksir magar mujh mein asar kuchh bhi nahin

aa rahi hai ye sada gor ke sannaTe se
main wo aalam hun jahan sham-o-sahar kuchh bhi nahin

is nazakat se to main kahe ko bismil hunga
tum chhuri pherte ho mujh ko KHabar kuchh bhi nahin

hatif-e-ishq to kahta hai idhar sab kuchh hai
aalam-e-yas ye kahta hai udhar kuchh bhi nahin

aankh phir jati hai mashuqon ki mayuson se
gham-zada kuchh nahin hasrat ki nazar kuchh bhi nahin

turbat-e-qais se kahti hai lipaT kar laila
hum taDapte hain paDe tum ko KHabar kuchh bhi nahin

manzil-e-gor mein kya jaaniye kya guzregi
taza warid hain abhi hum ko KHabar kuchh bhi nahin

lan-tarani ki jo takid hai ai dil ye khula
bab-e-didar mein manzur-e-nazar kuchh bhi nahin

KHwab dekha tha ki tha wasl ki shab ka saman
jashn tha raat ko hangam-e-sahar kuchh bhi nahin

us ko gahri ise ye ochhi chhuri wah ai yar
zaKHm-e-dil ghaw hua zaKHm-e-jigar kuchh bhi nahin

rishta-e-jaan se bhi nazuk hai wo bariki mein
gul ki rag phir hai gudaz us ki kamar kuchh bhi nahin

qabr mein huron ke aane ka uThaen kya lutf
dida o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhi nahin

ras aa jaegi jis ko wo use chahenge
phir mohabbat mein sabhi kuchh hai agar kuchh bhi nahin

mutmain hun rah-e-isyan mein teri rahmat se
wo musafir hun ki tashwish-e-safar kuchh bhi nahin

ai 'sharaf' hai gul-e-maqsud ke har-su bauchhaar
wah ai KHubi-e-qismat ki idhar kuchh bhi nahin

(739) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.