Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رلوا کے مجھ کو یار گنہ گار کر نہیں

آغا حجو شرف

رلوا کے مجھ کو یار گنہ گار کر نہیں

آنکھیں ہیں تر تو ہوں مرا دامن تو تر نہیں

امید وصل سے بھی تو صدمہ نہ کم ہوا

کیا درد جائے گا جو دوا کا اثر نہیں

دن کو بھی داغ دل کی نہ کم ہوگی روشنی

یہ لو ہی اور ہے یہ چراغ سحر نہیں

تنہا چلیں ہیں معرکۂ عشق جھیلنے

ان کی طرف خدائی ہے کوئی ادھر نہیں

خالی صفائی قلب سے بہتر ہے داغ عشق

کیا عیب ہے کہ جس کے مقابل ہنر نہیں

قاتل کی راہ دیکھ لے دم بھر نہ زہر کھا

اے دل قضا کو آنے دے بے موت مر نہیں

کیوں کر یہاں نہ ایک ہی کروٹ پڑا رہوں

ہو کا مقام گور کی منزل ہے گھر نہیں

رن کھن پڑیں گے جب کہیں دکھلائے گا وہ شکل

بے کشت خوں ہوئی یہ مہم ہو کے سر نہیں

آنکھیں جھپک رہی ہیں مری برق حسن سے

پیش نظر ہو تم مجھے تاب نظر نہیں

یارو بتاؤ کس طرف آنکھیں بچھاؤں میں

اس شوخ کی کدھر کو ہے آمد کدھر نہیں

بندہ نواز سب ہیں رکوع و سجود میں

طاعت سے غافل آپ کی کوئی بشر نہیں

پریوں کے پاس جاؤں میں کیوں دل کو بیچنے

سودا جو مول لوں یہ مجھے درد سر نہیں

درد فراق یار سے دونوں ہیں بے قرار

قابو میں دل نہیں متحمل جگر نہیں

راہ عدم میں ساتھ رہے گی تری ہوس

پروا نہیں نہ ہو جو کوئی ہم سفر نہیں

خلوت سرائے یار میں پہنچے گا کیا کوئی

وہ بند و بست ہے کہ ہوا کا گزر نہیں

اٹھوا کے اپنی بزم سے دل کو مرے نہ توڑ

پہلو میں دے کے جا مجھے برباد کر نہیں

ہستی کدھر ہے عالم ارواح ہے کہاں

غفلت زدہ ہوں مجھ کو کہیں کی خبر نہیں

زنجیر اتر گئی ترا دیوانہ مر گیا

سناٹا قید خانے میں ہے شور و شر نہیں

چندرا کے مجھ کو بولے وہ آخر جو شب ہوئی

فق ہو گیا ہے رنگ کسی کا سحر نہیں

برپا ہے حشر و نشر جو رفتار یار سے

یہ کون سا چلن ہے قیامت اگر نہیں

در نجف تو جسم ہے اس نازنین کا

موئے نجف میں بال پڑا ہے کمر نہیں

دیدار کا لگا کے میں آیا ہوں آسرا

امیدوار ہوں مجھے مایوس کر نہیں

یارو ستم ہوا ہوئی آخر شب وصال

سینہ شرفؔ یہ کوٹ رہے ہیں گجر نہیں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin

Agha Hajju Sharaf

rulwa ke mujh ko yar gunahgar kar nahin
aankhen hain tar to hon mera daman to tar nahin

ummid-e-wasl se bhi to sadma na kam hua
kya dard jaega jo dawa ka asar nahin

din ko bhi dagh-e-dil ki na kam hogi raushni
ye lau hi aur hai ye charagh-e-sahar nahin

tanha chalen hain marka-e-ishq jhelne
un ki taraf KHudai hai koi idhar nahin

KHali safai-qalb se behtar hai dagh-e-ishq
kya aib hai ki jis ke muqabil hunar nahin

qatil ki rah dekh le dam bhar na zahr kha
ai dil qaza ko aane de be-maut mar nahin

kyunkar yahan na ek hi karwaT paDa rahun
hu ka maqam gor ki manzil hai ghar nahin

ran-khan paDenge jab kahin dikhlaega wo shakl
be-kisht-e-KHun hui ye muhim ho ke sar nahin

aankhen jhapak rahi hain meri barq-e-husn se
pesh-e-nazar ho tum mujhe tab-e-nazar nahin

yaro batao kis taraf aankhen bichhaun main
us shoKH ki kidhar ko hai aamad kidhar nahin

banda-nawaz sab hain ruku o sujud mein
taat se ghafil aap ki koi bashar nahin

pariyon ke pas jaun main kyun dil ko bechne
sauda jo mol lun ye mujhe dard-e-sar nahin

dard-e-firaq-e-yar se donon hain be-qarar
qabu mein dil nahin mutahammil jigar nahin

rah-e-adam mein sath rahegi teri hawas
parwa nahin na ho jo koi ham-safar nahin

KHalwat-sara-e-yar mein pahunchega kya koi
wo band-o-bast hai ki hawa ka guzar nahin

uThwa ke apni bazm se dil ko mere na toD
pahlu mein de ke ja mujhe barbaad kar nahin

hasti kidhar hai aalam-e-arwah hai kahan
ghaflat-zada hun mujh ko kahin ki KHabar nahin

zanjir utar gai tera diwana mar gaya
sannaTa qaid-KHane mein hai shor-o-shar nahin

chandra ke mujh ko bole wo aaKHir jo shab hui
faq ho gaya hai rang kisi ka sahar nahin

barpa hai hashr-o-nashr jo raftar-e-yar se
ye kaun sa chalan hai qayamat agar nahin

durr-e-najaf to jism hai us naznin ka
mu-e-najaf mein baal paDa hai kamar nahin

didar ka laga ke main aaya hun aasra
ummid-war hun mujhe mayus kar nahin

yaro sitam hua hui aaKHir shab-e-visal
sina 'sharaf' ye kuT rahe hain gajar nahin

(654) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.