Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوس گل زار کی مثل عنادل ہم بھی رکھتے تھے

آغا حجو شرف

ہوس گل زار کی مثل عنادل ہم بھی رکھتے تھے

کبھی تھا شوق گل ہم کو کبھی دل ہم بھی رکھتے تھے

قضا بھی تیرے ہاتھوں چاہتے تھے تجھ کو کیا کیجے

نہیں تو تیغ دم کے ساتھ قاتل ہم بھی رکھتے تھے

خطائے عشق پر ہم پر نہ اتنا بھی ستم ڈھاؤ

اگر چاہا تو چاہا کیا ہوا دل ہم بھی رکھتے تھے

خدا کو علم ہے زندہ ہے یا جل بھن گیا شب کو

دل اپنا تیرے پروانوں میں شامل ہم بھی رکھتے تھے

مری جاں بازیوں پر گور میں رستم یہ کہتا ہے

نہ تھے ایسے جری گو شیر کا دل ہم بھی رکھتے تھے

علاقہ عشق کا لیتے یہ سوچے ہوں گے بربادی

وگرنہ نقد جان و سکۂ دل ہم بھی رکھتے تھے

خدا کے سامنے ہوگی جو پرسش عشق بازوں کی

کہیں گے ہم بھی اتنا عشق کامل ہم بھی رکھتے تھے

تمنا تھی ہمیں بھی تیری صحبت دیکھ لینے کی

کہ پروانے تھے شوق و ذوق محفل ہم بھی رکھتے تھے

بڑے عقدہ کشا تھے تم تو حل اس کو بھی کرنا تھا

مہم عشق سر کرنے کی مشکل ہم بھی رکھتے تھے

تلاش یار میں خفیہ گئے عشاق دنیا سے

خبر بھی کی نہ ہم کو شوق منزل ہم بھی رکھتے تھے

کوئی لحظہ جدائی میں تڑپنے سے نہ فرصت تھی

کبھی پہلو میں دل مانند بسمل ہم بھی رکھتے تھے

جنوں کا زور تھا دل میں جگہ کر لی تھی وحشت نے

غرض پیش نظر لیلیٰ و محمل ہم بھی رکھتے تھے

جگہ دل کی طرح پہلو میں دی ہوتی ہمیں تم نے

لیاقت اس سرافرازی کے قابل ہم بھی رکھتے تھے

اسے کیوں کر نہ کہتے ہم کہ یکتا ہے خدائی میں

شناسا تھے تمیز حق و باطل ہم بھی رکھتے تھے

خدا نے جان چھڑوائی شرفؔ وہ خود بگڑ بیٹھا

حقیقت میں عجب معشوق جاہل ہم بھی رکھتے تھے

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The

Agha Hajju Sharaf

hawas gulzar ki misl-e-anadil hum bhi rakhte the
kabhi tha shauq-e-gul hum ko kabhi dil hum bhi rakhte the

qaza bhi tere hathon chahte the tujh ko kya kije
nahin to tegh-e-dam ke sath qatil hum bhi rakhte the

KHata-e-ishq par hum par na itna bhi sitam Dhao
agar chaha to chaha kya hua dil hum bhi rakhte the

KHuda ko ilm hai zinda hai ya jal-bhun gaya shab ko
dil apna tere parwanon mein shamil hum bhi rakhte the

meri jaan-baziyon par gor mein rustam ye kahta hai
na the aise jari go sher ka dil hum bhi rakhte the

ilaqa ishq ka lete ye soche honge barbaadi
wagarna naqd-e-jaan o sikka-e-dil hum bhi rakhte the

KHuda ke samne hogi jo pursish ishq-bazon ki
kahenge hum bhi itna ishq-e-kaamil hum bhi rakhte the

tamanna thi hamein bhi teri sohbat dekh lene ki
ki parwane the shauq-o-zauq-e-mahfil hum bhi rakhte the

baDe uqda-kusha the tum to hal is ko bhi karna tha
muhimm-e-ishq sar karne ki mushkil hum bhi rakhte the

talash-e-yar mein KHufiya gae ushshaq duniya se
KHabar bhi ki na hum ko shauq-e-manzil hum bhi rakhte the

koi lahza judai mein taDapne se na fursat thi
kabhi pahlu mein dil manind-e-bismil hum bhi rakhte the

junun ka zor tha dil mein jagah kar li thi wahshat ne
gharaz pesh-e-nazar laila o mahmil hum bhi rakhte the

jagah dil ki tarah pahlu mein di hoti hamein tum ne
liyaqat is sar-afraazi ke qabil hum bhi rakhte the

use kyunkar na kahte hum ki yakta hai KHudai mein
shanasa the tamiz-e-haqq-o-baatil hum bhi rakhte the

KHuda ne jaan chhuDwai 'sharaf' wo KHud bigaD baiTha
haqiqat mein ajab mashuq-e-jahil hum bhi rakhte the

(665) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.