Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رنگ جن کے مٹ گئے ہیں ان میں یار آنے کو ہے

آغا حجو شرف

رنگ جن کے مٹ گئے ہیں ان میں یار آنے کو ہے

دھوم ہے پژمردہ پھولوں میں بہار آنے کو ہے

یار کوچے میں ترے دھونی رمانے کے لیے

غمزدہ حسرت زدہ اک خاکسار آنے کو ہے

رحم کرنا اب کی میری آنکھ کھلنے کی نہیں

آخری غش مجھ کو اے پروردگار آنے کو ہے

کوئی دم میں حشر ہوگا کچھ خبر بھی ہے تمہیں

بے قراری لاتی ہے اک بے قرار آنے کو ہے

بھاگے جاتے ہیں بگولے کانپتا ہے نجد قیس

خاک اڑی کس کی یہاں کس کا غبار آنے کو ہے

ہوش اڑے جاتے ہیں یارو روح ہے سہمی ہوئی

صید گاہ عشق سے کس کا شکار آنے کو ہے

جان جاں تو کیجو جاں بخشی کہ تجھ کو دیکھنے

ایک بے کس بے خود و بے اختیار آنے کو ہے

درد تنہائی سے چھڑاتا ہے عالم نزع کا

بے قراری کوچ کرتی ہے قرار آنے کو ہے

گل رخوں کی بزم میں جانے کو ہے میرا غبار

پیشوائی کے لئے ابر بہار آنے کو ہے

اب مری آنکھوں کو ہوگا ولولہ دیدار کا

حسرت ان میں آ چکی ہے انتظار آنے کو ہے

ہوگی اب آراستہ تربت شہید ناز کی

چادر گل بچھتی ہے شمع مزار آنے کو ہے

بے وفا تم با وفا میں دیکھیے ہوتا ہے کیا

غیظ میں آنے کو تم ہو مجھ کو پیار آنے کو ہے

غنچہ و گل کر رہی ہیں کیوں گریباں چاک چاک

کون سے رشک چمن کا دل فگار آنے کو ہے

ہجر میں دم گھٹنے کو ہے کوچ ہے تفریح کا

سانس رکنے کو ہے ہچکی چند بار آنے کو ہے

بیٹھی ہے لیلیٰ گریباں پھاڑنے کے واسطے

کس کے مجنوں کا لباس تار تار آنے کو ہے

غش سے چونکو آنکھ کھولو دم نہ توڑو اے شرفؔ

شکر کا سجدہ کرو اٹھ بیٹھو یار آنے کو ہے

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai

Agha Hajju Sharaf

rang jin ke miT gae hain un mein yar aane ko hai
dhum hai pazhmurda phulon mein bahaar aane ko hai

yar kuche mein tere dhuni ramane ke liye
gham-zada hasrat-zada ek KHaksar aane ko hai

rahm karna ab ki meri aankh khulne ki nahin
aaKHiri ghash mujh ko ai parwardigar aane ko hai

koi dam mein hashr hoga kuchh KHabar bhi hai tumhein
be-qarari lati hai ek be-qarar aane ko hai

bhage jate hain bagule kanpta hai najd-e-qais
KHak uDi kis ki yahan kis ka ghubar aane ko hai

hosh uDe jate hain yaro ruh hai sahmi hui
said-gah-e-ishq se kis ka shikar aane ko hai

jaan-e-jaan tu kijo jaan-baKHshi ki tujh ko dekhne
ek be-kas be-KHud o be-iKHtiyar aane ko hai

dard-e-tanhai se chhuData hai aalam naza ka
be-qarari kuch karti hai qarar aane ko hai

gul-ruKHon ki bazm mein jaane ko hai mera ghubar
peshwai ke liye abr-e-bahaar aane ko hai

ab meri aankhon ko hoga walwala didar ka
hasrat in mein aa chuki hai intizar aane ko hai

hogi ab aarasta turbat shahid-e-naz ki
chadar-e-gul bichhti hai sham-e-mazar aane ko hai

be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai

ghuncha-o-gul kar rahi hain kyun gareban chaak chaak
kaun se rashk-e-chaman ka dil-figar aane ko hai

hijr mein dam ghuTne ko hai kuch hai tafrih ka
sans rukne ko hai hichki chand bar aane ko hai

baiThi hai laila gareban phaDne ke waste
kis ke majnun ka libas-e-tar-tar aane ko hai

ghash se chaunko aankh kholo dam na toDo ai 'sharaf'
shukr ka sajda karo uTh baiTho yar aane ko hai

(783) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.