Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum, Urdu Ghazal By Aish Dehlvi

Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aish Dehlvi. Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ کم نہیں ہیں شمع سے دل کی لگن میں ہم

عیش دہلوی

کچھ کم نہیں ہیں شمع سے دل کی لگن میں ہم

فانوس میں وہ جلتی ہے یاں پیرہن میں ہم

ہیں تفتہ جاں مفارقت گل بدن میں ہم

ایسا نہ ہو کہ آگ لگا دیں چمن میں ہم

گم ہوں گے بوئے زلف شکن در شکن میں ہم

قبضہ کریں گے چین کو لے کر ختن میں ہم

گر یہ ہی چھیڑ دست جنوں کی رہی تو بس

مر کر بھی سینہ چاک کریں گے کفن میں ہم

محو خیال زلف بتاں عمر بھر رہے

مشہور کیوں نہ ہوں کہو دیوانہ پن میں ہم

ہوں گے عزیز خلق کی نظروں میں دیکھنا

گر کر بھی اپنے یار کے چاہ ذقن میں ہم

چھکے ہی چھوٹ جائیں گے غیروں کے دیکھنا

آ نکلے ہاں کبھی جو تری انجمن میں ہم

اے عندلیب دعوی بیہودہ پر کہیں

ایک آدھ گل کا منہ نہ مسل دیں چمن میں ہم

عاشق ہوئے ہیں پردہ نشیں پر بس اس لیے

رکھتے ہیں سوز عشق نہاں جان و تن میں ہم

ظالم کی سچ مثل ہے کہ رسی دراز ہے

مصداق اس کا پاتے ہیں چرخ کہن میں ہم

عنقا کا عیشؔ نام تو ہے گو نشاں نہیں

یاں وہ بھی کھو چکے ہیں تلاش دہن میں ہم

عیش دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum

Aish Dehlvi

kuchh kam nahin hain shama se dil ki lagan mein hum
fanus mein wo jalti hai yan pairahan mein hum

hain tufta-jaan mufaraqat-e-gul-badan mein hum
aisa na ho ki aag laga den chaman mein hum

gum honge bu-e-zulf-e-shikan-dar-shikan mein hum
qabza karenge chin ko le kar KHutan mein hum

gar ye hi chheD dast-e-junun ki rahi to bas
mar kar bhi sina chaak karenge kafan mein hum

mahw-e-KHayal-e-zulf-e-butan umr bhar rahe
mashhur kyun na hon kaho diwana-pan mein hum

honge aziz KHalq ki nazron mein dekhna
gir kar bhi apne yar ke chah-e-zaqan mein hum

chhakke hi chhuT jaenge ghairon ke dekhna
aa nikle han kabhi jo teri anjuman mein hum

ai andalib dawa-e-behuda par kahin
ek aadh gul ka munh na masal den chaman mein hum

aashiq hue hain parda-nashin par bas is liye
rakhte hain soz-e-ishq nihan jaan o tan mein hum

zalim ki sach masal hai ki rassi daraaz hai
misdaq us ka pate hain charKH-e-kuhan mein hum

anqa ka 'aish' nam to hai go nishan nahin
yan wo bhi kho chuke hain talash-e-dahan mein hum

(675) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum written by Aish Dehlvi at UrduPoint. Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum is one of the masterpieces written by Aish Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Aish Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aish Dehlvi' above.

Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.