Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin, Urdu Ghazal By Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ ہزار ہم پہ جفا سہی کوئی شکوہ پھر بھی روا نہیں

اخگر مشتاق رحیم آبادی

وہ ہزار ہم پہ جفا سہی کوئی شکوہ پھر بھی روا نہیں

کہ جفا تو ان کی خطا نہیں جنہیں کوئی قدر وفا نہیں

مری بد ظنی پہ یہ رنجشیں تو کسی بھی طور بجا نہیں

کہ جہان عشق میں بد ظنی تو حضور جرم و خطا نہیں

مرے عشق کو تری بے رخی ہی نصیب ہے تو یہی سہی

تری بے رخی رہے شادماں مجھے بے رخی کا گلا نہیں

یہ غلط کہ محفل ناز میں کوئی آشنائے نظر نہ تھا

کوئی تم سے کہہ تو رہا تھا کچھ مگر آہ تم نے سنا نہیں

انہیں اور علم رہ وفا یہ یقیں بھی آئے تو کس طرح

کہ انہی کے دامن ناز پر کہیں خاک راہ وفا نہیں

مرے اے دل الم آشنا کسی وہم میں نہ ہو مبتلا

تجھے رکھ سکیں گے وہ یاد کیا کبھی جن کا دل ہی دکھا نہیں

یہ مہ دو ہفتہ کی چاندنی میں دل شکستہ کی حسرتیں

کبھی میرے دل ہی سے پوچھ لو جو تمہارے دل کو پتا نہیں

یہ کمال جذبہ و سر نہیں ترے سنگ در ہی کی بات ہے

ترے ایک در پہ جو جھک گیا وہ ہزار در پہ جھکا نہیں

انہیں یوں نہ در سے ہٹائیے انہیں کچھ تو دے کے ہی ٹالیے

کہ وہی غریب دیار ہیں وہ غریب جن کا خدا نہیں

اخگر مشتاق رحیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

wo hazar hum pe jafa sahi koi shikwa phir bhi rawa nahin
ki jafa to un ki KHata nahin jinhen koi qadr-e-wafa nahin

meri bad-zani pe ye ranjishen to kisi bhi taur baja nahin
ki jahan-e-ishq mein bad-zani to huzur jurm-o-KHata nahin

mere ishq ko teri be-ruKHi hi nasib hai to yahi sahi
teri be-ruKHi rahe shadman mujhe be-ruKHi ka gila nahin

ye ghalat ki mahfil-e-naz mein koi aashna-e-nazar na tha
koi tum se kah to raha tha kuchh magar aah tum ne suna nahin

unhen aur ilm-e-rah-e-wafa ye yaqin bhi aae to kis tarah
ki unhi ke daman-e-naz par kahin KHak-e-rah-e-wafa nahin

mere ai dil-e-alam-ashna kisi wahm mein na ho mubtala
tujhe rakh sakenge wo yaad kya kabhi jin ka dil hi dukha nahin

ye mah-e-do-hafta ki chandni mein dil-e-shikasta ki hasraten
kabhi mere dil hi se puchh lo jo tumhaare dil ko pata nahin

ye kamal-e-jazba-o-sar nahin tere sang-e-dar hi ki baat hai
tere ek dar pe jo jhuk gaya wo hazar dar pe jhuka nahin

unhen yun na dar se haTaiye unhen kuchh to de ke hi Taliye
ki wahi gharib-e-dayar hain wo gharib jin ka KHuda nahin

(730) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin written by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi at UrduPoint. Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin is one of the masterpieces written by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. You can also find the complete poetry collection of Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi' above.

Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.