KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai, Urdu Ghazal By Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود نظاروں پہ نظاروں کو ہنسی آتی ہے

اخگر مشتاق رحیم آبادی

خود نظاروں پہ نظاروں کو ہنسی آتی ہے

باغبانوں پہ بہاروں کو ہنسی آتی ہے

اب یہ کیوں ذکر بہاراں پہ چمن میں اکثر

پھول تو پھول ہیں خاروں کو ہنسی آتی ہے

مہر و اخلاص کی دنیا میں یہ کیا بات ہوئی

آج یاروں ہی پہ یاروں کو ہنسی آتی ہے

ایسی بے جان سی ہے میرے حریفوں کی ہنسی

جیسے طوفاں پہ کناروں کو ہنسی آتی ہے

کیا کرے آہ وہ بیچارہ مسافر جس پر

آپ کی راہ گزاروں کو ہنسی آتی ہے

کوئی جب چاند ستاروں سے ہو مصروف سخن

کس قدر چاند ستاروں کو ہنسی آتی ہے

خیر ہو خیر مشیت کے ارادوں کی قسم

آج تقدیر کے ماروں کو ہنسی آتی ہے

ہائے کس موڑ پہ آیا ہے اب افسانۂ غم

میرے افسانہ نگاروں کو ہنسی آتی ہے

ہم ہیں محروم مسرت تو کوئی بات نہیں

یہ بھی کیا کم ہے سہاروں کو ہنسی آتی ہے

گردش وقت نے کیا پھر کوئی صورت بدلی

یا یوں ہی وقت گزاروں کو ہنسی آتی ہے

شاید اخگرؔ ہی کی توبہ کی خبر ہے یارو

آج ساقی کے اشاروں کو ہنسی آتی ہے

اخگر مشتاق رحیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

KHud nazaron pe nazaron ko hansi aati hai
baghbanon pe bahaaron ko hansi aati hai

ab ye kyun zikr-e-bahaaran pe chaman mein akasr
phul to phul hain KHaron ko hansi aati hai

mehr-o-iKHlas ki duniya mein ye kya baat hui
aaj yaron hi pe yaron ko hansi aati hai

aisi be-jaan si hai mere harifon ki hansi
jaise tufan pe kinaron ko hansi aati hai

kya kare aah wo bechaara musafir jis par
aap ki rah-guzaron ko hansi aati hai

koi jab chand sitaron se ho masruf-e-suKHan
kis qadar chand sitaron ko hansi aati hai

KHair ho KHair mashiyyat ke iradon ki qasam
aaj taqdir ke maron ko hansi aati hai

hae kis moD pe aaya hai ab afsana-e-gham
mere afsana-nigaron ko hansi aati hai

hum hain mahrum-e-masarrat to koi baat nahin
ye bhi kya kam hai sahaaron ko hansi aati hai

gardish-e-waqt ne kya phir koi surat badli
ya yunhi waqt-guzaron ko hansi aati hai

shayad 'aKHgar' hi ki tauba ki KHabar hai yaro
aaj saqi ke ishaaron ko hansi aati hai

(675) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai written by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi at UrduPoint. KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai is one of the masterpieces written by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. You can also find the complete poetry collection of Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi' above.

KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.