Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai, Urdu Ghazal By Al Haaj Al Hafiz

Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Al Haaj Al Hafiz. Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری نگاہ میں یہ چرخ اخضری کیا ہے

الحاج الحافظ

مری نگاہ میں یہ چرخ اخضری کیا ہے

یہ مہر و ماہ یہ تاروں کی رہبری کیا ہے

یہ ناز و عشوہ و تیوری ستم گری کیا ہے

تڑپ نہ جائے اگر دل تو دلبری کیا ہے

بنائیں آپ مرے دل کو آئنہ لیکن

سمجھ تو لیجئے پہلے سکندری کیا ہے

وفائیں ہو گئیں قربان ان جفاؤں پر

تمہی بتاؤ یہ انداز دلبری کیا ہے

یوں بزم ناز میں آنے کے ہم نہیں قائل

نہ ہو سلام محبت تو حاضری کیا ہے

نگاہ ناز کا کشتہ ہوا جب اول شب

مری نظر میں یہ جادوئے سامری کیا ہے

جناب شیخ بھی بیٹھے تھے بت کدہ میں کل

بحث چھڑی تھی انہی سے کہ کافری کیا ہے

عمل نہیں تو یہ القاب سب ہیں ناکارہ

یہ شیخ و سید و افغان و جعفری کیا ہے

نکالتے ہیں مجھے بزم اہل سخناں سے

خبر نہیں جنہیں آداب شاعری کیا ہے

نہ قدر لعل نہ کچھ آبروئے گوہر ہے

بدوں تمیز گہر زعم جوہری کیا ہے

یہ اہل بزم کا حسن سماعت ہے دیوانؔ

وگرنہ اہل زباں میں یہ شاعری کیا ہے

الحاج الحافظ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai

Al Haaj Al Hafiz

meri nigah mein ye charKH-e-aKHzari kya hai
ye mehr-o-mah ye taron ki rahbari kya hai

ye naz-o-ishwa-o-tyori sitamgari kya hai
taDap na jae agar dil to dilbari kya hai

banaen aap mere dil ko aaina lekin
samajh to lijiye pahle sikandari kya hai

wafaen ho gain qurban un jafaon par
tumhi batao ye andaz-e-dilbari kya hai

yun bazm-e-naz mein aane ke hum nahin qail
na ho salam-e-mohabbat to haziri kya hai

nigah-e-naz ka kushta hua jab awwal-e-shab
meri nazar mein ye jadu-e-samri kya hai

janab-e-shaiKH bhi baiThe the but-kade mein kal
bahas chhiDi thi unhi se ki kafiri kya hai

amal nahin to ye alqab sab hain nakara
ye shaiKH-o-sayyad-o-afghan-o-jafri kya hai

nikalte hain mujhe bazm-e-ahl-e-suKHnan se
KHabar nahin jinhen aadab-e-shaeri kya hai

na qadr-e-lal na kuchh aabru-e-gauhar hai
badun tamiz-e-guhar zoam-e-jauhari kya hai

ye ahl-e-bazm ka husn-e-samaat hai 'diwan'
wagarna ahl-e-zaban mein ye shaeri kya hai

(502) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai written by Al Haaj Al Hafiz at UrduPoint. Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai is one of the masterpieces written by Al Haaj Al Hafiz. You can also find the complete poetry collection of Al Haaj Al Hafiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Al Haaj Al Hafiz' above.

Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Nigah Mein Ye CharKH-e-aKHzari Kya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.