Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai, Urdu Ghazal By Al Haaj Al Hafiz

Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Al Haaj Al Hafiz. Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چشم تر ہوتی ہے جب ذکر ترا ہوتا ہے

الحاج الحافظ

چشم تر ہوتی ہے جب ذکر ترا ہوتا ہے

ہوک اٹھتی ہے تو کچھ درد سوا ہوتا ہے

قطرہ دریا سے جدا ہو کے ہوا ہوتا ہے

ہجر کی تاب نہ لایا وہ فنا ہوتا ہے

راس آیا نہ کبھی ہم کو طبیبوں کا علاج

جتنی پیتا ہوں دوا درد سوا ہوتا ہے

جب ہے آغاز محبت میں ہی ایسی حالت

حال اب دیکھیے انجام میں کیا ہوتا ہے

تیری بھی چال سے اٹھتے ہیں ہزاروں فتنے

میرے نالوں سے اگر حشر بپا ہوتا ہے

بے بسی پر مجھے رونا بھی ندامت بھی ہے

کس برے وقت میں ظالم تو جدا ہوتا ہے

بے وفاؤں کی نظر کچھ میری تقدیر نہیں

وہ نظر پھیر لیں سو مرتبہ کیا ہوتا ہے

مانا یکتائے زمانہ ہو مگر کیوں صاحب

حسن ہونے سے بھلا گوئی خدا ہوتا ہے

کیوں خفا ہو گئے اک ذکر ستم ہی تو تھا

دوستوں ہی میں تو اے جان گلہ ہوتا ہے

ایسی ٹھنڈی ہوا برسات کی رت دیکھ ذرا

ایسی حالت میں کہاں کوئی جدا ہوتا ہے

راز کیا ہے جو انہیں آج محبت اٹھی

ہے تو کچھ بات جو یہ عذر جفا ہوتا ہے

حشر میں وعدۂ دیدار تو کچھ ٹھیک نہیں

آج دکھلانے میں صورت انہیں کیا ہوتا ہے

رند مے نوش ہے دیوانؔ خدا کا بندہ

مت برا کہہ اسے کیوں مفت برا ہوتا ہے

الحاج الحافظ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai

Al Haaj Al Hafiz

chashm tar hoti hai jab zikr tera hota hai
huk uThti hai to kuchh dard siwa hota hai

qatra dariya se juda ho ke hawa hota hai
hijr ki tab na laya wo fana hota hai

ras aaya na kabhi hum ko tabibon ka ilaj
jitni pita hun dawa dard siwa hota hai

jab hai aaghaz-e-mohabbat mein hi aisi haalat
haal ab dekhiye anjam mein kya hota hai

teri bhi chaal se uThte hain hazaron fitne
mere nalon se agar hashr bapa hota hai

bebasi par mujhe rona bhi nadamat bhi hai
kis bure waqt mein zalim tu juda hota hai

be-wafaon ki nazar kuchh meri taqdir nahin
wo nazar pher len sau martaba kya hota hai

mana yakta-e-zamana ho magar kyon sahib
husn hone se bhala goi KHuda hota hai

kyon KHafa ho gae ek zikr-e-sitam hi to tha
doston hi mein to ai jaan gila hota hai

aisi ThanDi hawa barsat ki rut dekh zara
aisi haalat mein kahan koi juda hota hai

raaz kya hai jo unhen aaj mohabbat uTThi
hai to kuchh baat jo ye uzr-e-jafa hota hai

hashr mein wada-e-didar to kuchh Thik nahin
aaj dikhlane mein surat unhen kya hota hai

rind-e-mai-nosh hai 'diwan' KHuda ka banda
mat bura kah use kyon muft bura hota hai

(500) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai written by Al Haaj Al Hafiz at UrduPoint. Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai is one of the masterpieces written by Al Haaj Al Hafiz. You can also find the complete poetry collection of Al Haaj Al Hafiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Al Haaj Al Hafiz' above.

Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chashm Tar Hoti Hai Jab Zikr Tera Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.