Zikr Mera Kahan Nahin Hota, Urdu Ghazal By Al Haaj Al Hafiz

Zikr Mera Kahan Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Al Haaj Al Hafiz. Zikr Mera Kahan Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zikr Mera Kahan Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذکر میرا کہاں نہیں ہوتا

الحاج الحافظ

ذکر میرا کہاں نہیں ہوتا

وہ جہاں ہیں وہاں نہیں ہوتا

دل کے شعلے تو بجھ گئے دل میں

شہر غم میں دھواں نہیں ہوتا

حرف اک راز غم ہے چھوٹا سا

وہ بھی دل میں نہاں نہیں ہوتا

میم کے سر پہ عین اک نقطہ

یہ بھی نکتہ بیاں نہیں ہوتا

آج محفل میں چپ وہ بیٹھے ہیں

ورنہ کیا کیا بیاں نہیں ہوتا

دوستی ہو گئی حوادث سے

جب کوئی مہرباں نہیں ہوتا

دشت اپنے لئے نشیمن ہے

راس جب گلستاں نہیں ہوتا

دن میں آئیں وہ کیسے میرے گھر

راہ میں کہکشاں نہیں ہوتا

راہ الفت سے باز آ دیوانؔ

اس میں منزل نشاں نہیں ہوتا

الحاج الحافظ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zikr Mera Kahan Nahin Hota

Al Haaj Al Hafiz

zikr mera kahan nahin hota
wo jahan hain wahan nahin hota

dil ke shoale to bujh gae dil mein
shahr-e-gham mein dhuan nahin hota

harf ek raaz-e-gham hai chhoTa sa
wo bhi dil mein nihan nahin hota

mim ke sar pe ain ek nuqta
ye bhi nukta bayan nahin hota

aaj mahfil mein chup wo baiThe hain
warna kya kya bayan nahin hota

dosti ho gai hawadis se
jab koi mehrban nahin hota

dasht apne liye nasheman hai
ras jab gulsitan nahin hota

din mein aaen wo kaise mere ghar
rah mein kahkashan nahin hota

rah-e-ulfat se baz aa 'diwan'
is mein manzil-nishan nahin hota

(397) ووٹ وصول ہوئے

You can read Zikr Mera Kahan Nahin Hota written by Al Haaj Al Hafiz at UrduPoint. Zikr Mera Kahan Nahin Hota is one of the masterpieces written by Al Haaj Al Hafiz. You can also find the complete poetry collection of Al Haaj Al Hafiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Al Haaj Al Hafiz' above.

Zikr Mera Kahan Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zikr Mera Kahan Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.