Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai, Urdu Ghazal By Alimullah Hali

Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Alimullah Hali. Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صداؤں کے جنگل میں وہ خامشی ہے

علیم اللہ حالی

صداؤں کے جنگل میں وہ خامشی ہے

کہ میں نے ہر آواز تیری سنی ہے

اداسی کے آنگن میں تیری طلب کی

عجب خوشنما اک کلی کھل رہی ہے

نیا رنگ تھا اس کا کل وقت رخصت

کہ جیسے کسی بات پر برہمی ہے

اسے دے کے سب کچھ میں یہ سوچتا ہوں

اسے اور کیا دوں ابھی کچھ کمی ہے

وہی لمحہ لمحہ لہکنا ابھی تک

ابھی تک اسی یاد کی شعلگی ہے

سبیلیں مرے نام کی اور بھی ہیں

مگر پیاس مجھ کو تری بوند کی ہے

ترا نام لوں سامنے سب کے حالیؔ

یہ چاہت مرے دل کو اب کاٹتی ہے

علیم اللہ حالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai

Alimullah Hali

sadaon ke jangal mein wo KHamushi hai
ki main ne har aawaz teri suni hai

udasi ke aangan mein teri talab ki
ajab KHushnuma ek kali khil rahi hai

naya rang tha us ka kal waqt-e-ruKHsat
ki jaise kisi baat par barhami hai

use de ke sab kuchh main ye sochta hun
use aur kya dun abhi kuchh kami hai

wahi lamha lamha lahakna abhi tak
abhi tak usi yaad ki sholagi hai

sabilen mere nam ki aur bhi hain
magar pyas mujh ko teri bund ki hai

tera nam lun samne sab ke 'haali'
ye chahat mere dil ko ab kaTti hai

(779) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai written by Alimullah Hali at UrduPoint. Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai is one of the masterpieces written by Alimullah Hali. You can also find the complete poetry collection of Alimullah Hali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Alimullah Hali' above.

Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.