Babul Ke DaraKHt Se Kaho, Urdu Nazam By Ambar Bahraichi

Babul Ke DaraKHt Se Kaho is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ambar Bahraichi. Babul Ke DaraKHt Se Kaho comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Babul Ke DaraKHt Se Kaho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ببول کے درخت سے کہو

عنبر بہرائچی

ببول کے درخت سے کہو

ابھی مشام جاں میں ہر سنگھار کی شگفتگی

بڑے ہی انہماک سے بہار پاش ہے یہاں

جو مڑ کے دیکھتا ہوں ادھ جلے گلاب کا بدن

شہادتوں کے رمز پر سنگھار بھی لٹا گیا

جو مڑ کے دیکھتا ہوں فاختہ کا احمریں لہو

جبین جور کی سبھی رعونتیں مٹا گیا

مرے خلاف سازشوں کا یہ مہیب سلسلہ

مری انا کے بانکپن میں دفعتاً سما گیا

چنار کے درخت سے ہے ناریل کے پیڑ تک

رواں دواں ہماری خوشبوؤں کا شوخ سلسلہ

کبوتروں کے غول کی پھبن ہرن کی چوکڑی

ہوا کے دوش مرغ زار کو دلہن بنا گئی

ابھی مری زمین کی فضائیں صبح فام ہیں

دھویں کے ناگ سے کہو

بڑی ہی سخت جان ہیں ہماری وادیوں میں رنگ و نور کی لطافتیں

سمندروں کی سیپیوں سے پوکھروں کی گھونگھیوں نے

بیعتوں کے واسطے سپرد کب کیا ہے غیرتوں کے لالہ زار کو

ابھی حصار سنگ میں کنول کے پھول ہیں کھلے

زبان ریگ سرخ سے کہو

ہمارے پاؤں جل گئے تو کیا ہوا

بہار سبز کے لئے زمیں تو آج مل گئی

عنبر بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Babul Ke DaraKHt Se Kaho

Ambar Bahraichi

babul ke daraKHt se kaho
abhi masham-e-jaan mein har singhaar ki shaguftagi
baDe hi inhimak se bahaar-pash hai yahan
jo muD ke dekhta hun adh-jale gulab ka badan
shahadaton ke ramz par singhaar bhi luTa gaya
jo muD ke dekhta hun faKHta ka ahmarin lahu
jabin-e-jaur ki sabhi raunaten miTa gaya
mere KHilaf sazishon ka ye muhib silsila
meri ana ke bankpan mein dafatan sama gaya
chinar ke daraKHt se hai nariyal ke peD tak
rawan dawan hamari KHushbuon ka shoKH silsila
kabutaron ke ghol ki phaban hiran ki chaukDi
hawa ke dosh-e-maghzar ko dulhan bana gai
abhi meri zamin ki fazaen subh-e-fam hain
dhuen ke nag se kaho
baDi hi saKHt-jaan hain hamari wadiyon mein rang-o-nur ki latafaten
samundaron ki sipiyon se pokharon ki ghoghiyon ne
baiaton ke waste sipurd kab kiya hai ghairaton ke lala-zar ko
abhi hisar-e-sang mein kanwal ke phul hain khile
zaban-e-reg-e-surKH se kaho
hamare panw jal gae to kya hua
bahaar-e-sabz ke liye zamin to aaj mil gai

(786) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Babul Ke DaraKHt Se Kaho written by Ambar Bahraichi at UrduPoint. Babul Ke DaraKHt Se Kaho is one of the masterpieces written by Ambar Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Ambar Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ambar Bahraichi' above.

Babul Ke DaraKHt Se Kaho is a widely read Urdu Nazam. If you like Babul Ke DaraKHt Se Kaho, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.