Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab, Urdu Ghazal By Ameer Minai

Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Minai. Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے خموشی ظلم چرخ دیو پیکر کا جواب

امیر مینائی

ہے خموشی ظلم چرخ دیو پیکر کا جواب

آدمی ہوتا تو ہم دیتے برابر کا جواب

جو بگولا دشت غربت میں اٹھا سمجھا یہ میں

کرتی ہے تعمیر دیوانی مرے گھر کا جواب

ساتھ خنجر کے چلے گی وقت ذبح اپنی زبان

جان دینے والے دیتے ہیں برابر کا جواب

سجدہ کرتا ہوں جو میں ٹھوکر لگاتا ہے وہ بت

پاؤں اس کا بڑھ کے دیتا ہے مرے سر کا جواب

ابر کے ٹکڑے نہ الجھیں میری موج اشک سے

خشک مغزوں سے ہے مشکل مصرعۂ تر کا جواب

وہ کھنچا تھا میں بھی کھنچ رہتا تو بنتی کس طرح

سر جھکا دیتا تھا قاتل تیرے خنجر کا جواب

جیتے جی ممکن نہیں اس شوخ کا خط دیکھنا

بعد میرے آئے گا میرے مقدر کا جواب

شیخ کہتا ہے برہمن کو برہمن اس کو سخت

کعبہ و بت خانہ میں پتھر ہے پتھر کا جواب

روز دکھلاتا ہے گردوں کیسی کیسی صورتیں

بت تراشی میں ہے یہ کافر بھی آذر کا جواب

ہر جگہ قبر گدا تکیے میں ہر جا گور شاہ

ایک گھر اس شہر میں ہے دوسرے گھر کا جواب

جلوہ گر ہے نور حق ہونے سے یکتائی امیرؔ

سایہ بھی ہوتا اگر ہوتا پیمبر کا جواب

امیر مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab

Ameer Minai

hai KHamoshi zulm-charKH-e-dew-paikar ka jawab
aadmi hota to hum dete barabar ka jawab

jo bagula dasht-e-ghurbat mein uTha samjha ye main
karti hai tamir diwani mere ghar ka jawab

sath KHanjar ke chalegi waqt-e-zabh apni zaban
jaan dene wale dete hain barabar ka jawab

sajda karta hun jo main Thokar lagata hai wo but
panw us ka baDh ke deta hai mere sar ka jawab

abr ke TukDe na uljhen meri mauj-e-ashk se
KHushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka jawab

wo khincha tha main bhi khinch rahta to banti kis tarah
sar jhuka deta tha qatil tere KHanjar ka jawab

jite-ji mumkin nahin us shoKH ka KHat dekhna
baad mere aaega mere muqaddar ka jawab

shaiKH kahta hai barhaman ko barhaman us ko saKHt
kaba o but-KHana mein patthar hai patthar ka jawab

roz dikhlata hai gardun kaisi kaisi suraten
but-tarashi mein hai ye kafir bhi aazar ka jawab

har jagah qabr-e-gada takiye mein har ja gor-e-shah
ek ghar is shahr mein hai dusre ghar ka jawab

jalwa-gar hai nur-e-haq hone se yaktai 'amir'
saya bhi hota agar hota payambar ka jawab

(632) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab written by Ameer Minai at UrduPoint. Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab is one of the masterpieces written by Ameer Minai. You can also find the complete poetry collection of Ameer Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Minai' above.

Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dev-paikar Ka Jawab, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.