Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq, Urdu Ghazal By Ameer Minai

Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Minai. Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہیں نہ زندوں میں نہ مردوں میں کمر کے عاشق

امیر مینائی

ہیں نہ زندوں میں نہ مردوں میں کمر کے عاشق

نہ ادھر کے ہیں الٰہی نہ ادھر کے عاشق

ہے وہی آنکھ جو مشتاق ترے دید کی ہو

کان وہ ہیں جو رہیں تیری خبر کے عاشق

جتنے ناوک ہیں کماندار ترے ترکش میں

کچھ مرے دل کے ہیں کچھ میرے جگر کے عاشق

برہمن دیر سے کعبے سے پھر آئے حاجی

تیرے در سے نہ سرکنا تھا نہ سرکے عاشق

آنکھ دکھلاؤ انہیں مرتے ہوں جو آنکھوں پر

ہم تو ہیں یار محبت کی نظر کے عاشق

چھپ رہے ہوں گے نظر سے کہیں عنقا کی طرح

توبہ کیجے کہیں مرتے ہیں کمر کے عاشق

بے جگر معرکۂ عشق میں کیا ٹھہریں گے

کھاتے ہیں خنجر معشوق کے چرکے عاشق

تجھ کو کعبہ ہو مبارک دل ویراں ہم کو

ہم ہیں زاہد اسی اجڑے ہوئے گھر کے عاشق

کیا ہوا لیتی ہیں پریاں جو بلائیں تیری

کہ پری زاد بھی ہوتے ہیں بشر کے عاشق

بے کسی درد و الم داغ تمنا حسرت

چھوڑے جاتے ہیں پس مرگ یہ ترکے عاشق

بے سبب سیر شب ماہ نہیں ہے یہ امیرؔ

ہو گئے تم بھی کسی رشک قمر کے عاشق

امیر مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq

Ameer Minai

hain na zindon mein na murdon mein kamar ke aashiq
na idhar ke hain ilahi na udhar ke aashiq

hai wahi aankh jo mushtaq tere did ki ho
kan wo hain jo rahen teri KHabar ke aashiq

jitne nawak hain kaman-dar tere tarkash mein
kuchh mere dil ke hain kuchh mere jigar ke aashiq

barhaman dair se kabe se phir aae haji
tere dar se na sarakna tha na sarke aashiq

aankh dikhlao unhen marte hon jo aankhon par
hum to hain yar mohabbat ki nazar ke aashiq

chhup rahe honge nazar se kahin anqa ki tarah
tauba kije kahin marte hain kamar ke aashiq

be-jigar marka-e-ishq mein kya Thahrenge
khate hain KHanjar-e-mashuq ke charke aashiq

tujh ko kaba ho mubarak dil-e-viran hum ko
hum hain zahid usi ujDe hue ghar ke aashiq

kya hua leti hain pariyan jo balaen teri
ki pari-zad bhi hote hain bashar ke aashiq

be-kasi dard-o-alam dagh tamanna hasrat
chhoDe jate hain pas-e-marg ye tarke aashiq

be-sabab sair-e-shab-e-mah nahin hai ye 'amir'
ho gae tum bhi kisi rashk-e-qamar ke aashiq

(582) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq written by Ameer Minai at UrduPoint. Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq is one of the masterpieces written by Ameer Minai. You can also find the complete poetry collection of Ameer Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Minai' above.

Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hain Na Zindon Mein Na Murdon Mein Kamar Ke Aashiq, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.