Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai, Urdu Ghazal By Ameer Minai

Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Minai. Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وعدۂ وصل اور وہ کچھ بات ہے

امیر مینائی

وعدۂ وصل اور وہ کچھ بات ہے

ہو نہ ہو اس میں بھی کوئی گھات ہے

خلق ناحق درپئے اثبات ہے

ہے دہن اس کا کہاں اک بات ہے

بوسۂ چاہ زنخداں غیر لیں

ڈوب مرنے کی یہ اے دل بات ہے

گھر سے نکلے ہو نہتے وقت قتل

یہ بھی بہر قتل عاشق گھات ہے

میں نے اتنا ہی کہا بنواؤ خط

یہ بگڑنے کی بھلا کیا بات ہے

بعد مدت بخت جاگے ہیں مرے

بیٹھے ہیں سونے کو ساری رات ہے

کیا کروں وصف بتان خودپسند

ان سے بڑھ کر بس خدا کی ذات ہے

باتوں باتوں میں جو میں کچھ کہہ گیا

ہنس کے فرمانے لگے کیا بات ہے

حرف مطلب صاف کہہ سکتا نہیں

ہے ادب مانع کہ پہلی رات ہے

مجھ سے ہو اظہار الفت واہ وا

آپ کے فرمانے کی یہ بات ہے

رو رہے ہیں ہم ملا دے لب سے لب

مے کشی ہو ساقیا برسات ہے

زچ ہے تیری چال سے رفتار چرخ

مہر رخ سے بازیٔ مہ مات ہے

کیسی کٹتی ہے سیہ بختی میں عمر

رات سے دن دن سے بد تر رات ہے

چھیڑتا ہے دل کو کیا اے درد ہجر

خود گرفتار ہزار آفات ہے

اے غنی دے سیم و زر وقت بلا

مال دنیا جان کی خیرات ہے

گر جگہ دل میں نہیں پھر اس سے کیا

یہ دوشنبے کی یہ بدھ کی رات ہے

صاف کہہ دے تو یہاں آیا نہ کر

یار یہ سو بات کی اک بات ہے

لخت دل ہیں میرے کھانے کو امیرؔ

بس انہیں ٹکڑوں پہ اب اوقات ہے

امیر مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai

Ameer Minai

wada-e-wasl aur wo kuchh baat hai
ho na ho is mein bhi koi ghat hai

KHalq nahaq darpai-e-isbaat hai
hai dahan us ka kahan ek baat hai

bosa-e-chah-e-zanKHdan ghair len
Dub marne ki ye ai dil baat hai

ghar se nikle ho nihatte waqt-e-qatl
ye bhi bahr-e-qatl-e-ashiq ghat hai

main ne itna hi kaha banwao KHat
ye bigaDne ki bhala kya baat hai

baad muddat baKHt jage hain mere
baiThe hain sone ko sari raat hai

kya karun wasf-e-butan-e-KHud-pasand
in se baDh kar bas KHuda ki zat hai

baaton baaton mein jo main kuchh kah gaya
hans ke farmane lage kya baat hai

harf-e-matlab saf kah sakta nahin
hai adab mane ki pahli raat hai

mujh se ho izhaar-e-ulfat wah-wa
aap ke farmane ki ye baat hai

ro rahe hain hum mila de lab se lab
mai-kashi ho saqiya barsat hai

zach hai teri chaal se raftar-e-charKH
mohr-e-ruKH se bazi-e-mah mat hai

kaisi kaTti hai siyah-baKHti mein umr
raat se din din se bad-tar raat hai

chheDta hai dil ko kya ai dard-e-hijr
KHud giraftar-e-hazar-afat hai

ai ghani de sim-o-zar waqt-e-bala
mal-e-duniya jaan ki KHairaat hai

gar jagah dil mein nahin phir is se kya
ye doshambe ki ye budh ki raat hai

saf kah de tu yahan aaya na kar
yar ye sau baat ki ek baat hai

laKHt-e-dil hain mere khane ko 'amir'
bas inhin TukDon pe ab auqat hai

(659) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai written by Ameer Minai at UrduPoint. Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai is one of the masterpieces written by Ameer Minai. You can also find the complete poetry collection of Ameer Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Minai' above.

Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wada-e-wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.