Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha, Urdu Ghazal By Ameer Minai

Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Minai. Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وصل کی شب بھی خفا وہ بت مغرور رہا

امیر مینائی

وصل کی شب بھی خفا وہ بت مغرور رہا

حوصلہ دل کا جو تھا دل میں بدستور رہا

عمر رفتہ کے تلف ہونے کا آیا تو خیال

لیکن اک دم کی تلافی کا نہ مقدور رہا

جمع کس دن نہ ہوئے موسم گل میں میکش

روز ہنگامہ تہ سایۂ انگور رہا

گردش بخت کہاں سے ہمیں لائی ہے کہاں

منزلوں وادئ غربت سے وطن دور رہا

راست بازی کر اگر ناموری ہے درکار

دار سے خلق میں آوازۂ منصور رہا

وہ تو ہے چرخ چہارم پہ یہ پچ محلے پر

سچ ہے عیسیٰ سے بھی بالا ترا مزدور رہا

فصل گل آئی گئی صحن چمن میں سو بار

اپنے سر میں تھا جو سودا وہ بدستور رہا

جلوۂ برق تجلی نظر آیا نہ کبھی

مدتوں جا کے وہاں میں شجر طور رہا

زلف و رخ دونوں ہیں جانے سے جوانی کے خراب

مشک وہ مشک نہ کافور وہ کافور رہا

غول صحرا نے مرا ساتھ نہ چھوڑا شب بھر

لے کے مشعل کبھی نزدیک کبھی دور رہا

ہم بھی موجود تھے کل محفل جاناں میں امیرؔ

رات کو دیر تلک آپ کا مذکور رہا

امیر مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha

Ameer Minai

wasl ki shab bhi KHafa wo but-e-maghrur raha
hausla dil ka jo tha dil mein ba-dastur raha

umr-e-rafta ke talaf hone ka aaya to KHayal
lekin ek dam ki talafi ka na maqdur raha

jama kis din na hue mausam-e-gul mein mai-kash
roz hangama tah-e-saya-e-angur raha

gardish-e-baKHt kahan se hamein lai hai kahan
manzilon wadi-e-ghurbat se watan dur raha

rast-bazi kar agar namwari hai darkar
dar se KHalq mein aawaz-e-mansur raha

wo to hai charKH chahaarum pe ye pach mohalle par
sach hai isa se bhi baala tera mazdur raha

fasl-e-gul aai gai sehn-e-chaman mein sau bar
apne sar mein tha jo sauda wo ba-dastur raha

jalwa-e-barq-e-tajalli nazar aaya na kabhi
muddaton ja ke wahan mein shajar-e-tur raha

zulf o ruKH donon hain jaane se jawani ke KHarab
mushk wo mushk na kafur wo kafur raha

ghol-e-sahra ne mera sath na chhoDa shab bhar
le ke mashal kabhi nazdik kabhi dur raha

hum bhi maujud the kal mahfil-e-jaanan mein 'amir'
raat ko der talak aap ka mazkur raha

(689) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha written by Ameer Minai at UrduPoint. Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha is one of the masterpieces written by Ameer Minai. You can also find the complete poetry collection of Ameer Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Minai' above.

Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wasl Ki Shab Bhi KHafa Wo But-e-maghrur Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.